30/03/2025
"Bharat kis disha me ja raha hai?"
Ek pita ki beti ka balatkar ho jata hai, ek maa apne bete ki laash ko kandhe par uthati hai... Har din naye brutal crimes ki khabrein aati hain, jo insaniyat ko sharminda kar deti hain. Kya yehi hai humara Bharat? Kya hum apni aane wali peedhi ko ek aisa samaj dena chahte hain jisme na suraksha hai, na insaaf?
Kalyug sirf ek kahani nahi, balki hum apni aankhon ke saamne uska darshya dekh rahe hain. Ab samay hai jagne ka, sawal uthane ka aur insaaf ki maang karne ka. Warna aaj kisi aur ke saath ho raha hai, kal humare apno ke saath bhi ho sakta hai.
Sakht Kanoon Ki Zaroorat Hai!
Balatkar aur hatya jaise crimes ke liye 24 ghante ke andar faisla aur public ex*****on jaisa sakht dand hona chahiye. Jab tak dar nahi hoga, tab tak ye ghatnaye nahi rukengi. Naya kanoon laya jaye jisme fast-track courts ho, aur ek aise system ka nirman ho jo victims ko turant insaaf de.
Is post ko jitna ho sake share karein! Har awaaz zaroori hai, taki ye sandesh un tak pahunch sake jo naya kanoon laane ka faisla le sakte hain.
Chuppi todni hogi, warna ek din ye andhkar sabko nigal lega. Awaaz uthaiye! Naya Kanoon Lao!