08/08/2026
Karbala door sahi, ishq ka safar jaari hai,
Har zaaireen ke qadam mein Hussainؑ(a.s.) ki wafadaari hai.
Chalo ki khaak-e-Karbala aaj bhi pukarti hai,
Har saans mein Hussainؑ(a.s.) ki mehak utaarti hai.
Hazrat Abbasؑ(a.s.) ke alam tale jo jhuk gaya sar,
Fatima Zahraؑ(a.s.) ki dua use manzil tak sanwaarti hai.
Ye ishq ka safar hai, yahan thakna kaisa,
Imam Hussainؑ(a.s.) ka naam ho to phir rukna kaisa.
Zaaireen hoon ,bas yahi pehchaan kaafi hai meri,
Karbala saamne ho to phir rukna kaisa.
Fatima Zahraؑ(a.s) ki dua aur Hazrat abbas(a.s) ka alam lekar,
Karbala ki raah mein nikla hai ye Kamaal Haider..
✍️Kamaal Haider