02/09/2026
Saas Ne Japa Me Bhi Bahu Se Kaam Karwaya | Ek Bahu Ka Dard Koi Nahi Samajhta 😭
Ek Bahu Ka Dard - Japa Me Bhi Kaam? 😭 | Ek Bahu Ki Diary Ep. 2
Behno ye kahani meri nahi, hum sab ki hai. Ye kahani mujhe ek behen ne bheji thi, usne bola didi naam mat lena.
Wo kehti hai - "Didi mera 5wa mahina ka japa hai, doctor ne bola aaram karne ko. Par meri saas samajhti hi nahi hai. Subah se japa pe baithi hu, pet me dard hai, phir bhi saas bolti hai ja chai bana de, ja kapde dho de, ja jhadu laga de. Jab mana karti hu to bolti hai humare time pe to kheton me kaam karte the japa me bhi."
Didi main kya karu? Apne mayke bhi nahi ja sakti, pati bhi mummy ki hi sunta hai. Kya bahu ko japa me bhi aaram nahi mil sakta?
Behno sach batau to ye kahani sunkar meri aankho me aansu aa gaye. Kyunki ye sirf us ek behen ki kahani nahi hai, ye har dusri bahu ki kahani hai. Japa jaisi haalat me jab ek aurat ko sabse zyada pyaar aur aaram ki zarurat hoti hai, tab usi se sabse zyada kaam karwaya jata hai.
Is video me maine usi dard ko dikhane ki koshish ki hai. Agar aapke saath bhi aisa hua hai ya ho raha hai to aap akeli nahi ho. Hum sab behene saath hain.
Aap sab se ek sawal -
Kya saas ko japa wali bahu se kaam karwana chahiye? Aapka kya kehna hai? Comment me jarur batana, main har comment padhti hu.
Agar aapki bhi koi kahani hai jo aap duniya ko batana chahti ho to mujhe comment me jarur btao me video share jarur karugi Ye platform aap sab ke liye hi hai.
Ye meri kahani nahi hai, ye hum sab ki kahani hai.
Ek Bahu Ki Diary - Har Ghar Ki Kahani.
Please is video ko apni us behen ke saath share karna jiske saath aisa hota hai, taaki use lage ki wo akeli nahi hai.
Dhanyawad 🙏