01/05/2026
https://www.facebook.com/share/p/1BL3TRDrbe/
Ye daulat, ye shohrat—ye sab kya hoga,
Maa tu na ho to ghar bhi kahan hoga.
Teri god mein milta tha sukoon mujhko,
Wo ehsaas ab is jahaan mein kahan hoga.
Main jab bhi gira, tune sambhala mujhko,
Tere baad mera sahara kahan hoga.
Teri har ek duaa ne bachaya mujhko,
Bata. tere bina. mera. kya hoga.
Tu bhooki rahi aur khilaaya mujhko,
Ye qarz ab umr bhar mein ada kya hoga.
Maine chaha tera karz ada kar doon Maa,
Tere paon tale jannat hai—kya ada hoga.
Teri yaad mein aksar meri aankh bhar aayi,
Ye dard is. dil se kab juda hoga.
Abhar teri chhaon mein jeena seekha,
Tu door hui to jeena bhi kya hoga.