03/05/2025
“Assalamualaikum, Namaskar, Jai Hind!”
Main Khurram, Manavta Foundation ka sadasya aur ‘Sab Kuch Sach’ news channel ka sansthapak, aaj aap sabke saamne ek mahatvapurna sandesh lekar aaya hoon.
Pahalgam mein hui ghatnaon ke baad kuch log jhooti khabrein, afwahen aur nafrat failane wale paigam chala rahe hain. Aise samay mein zarurat hai ki hum sab dhairya banayein, sach ko samjhein, aur apne sheher, apne desh mein aman aur bhaichare ko banaye rakhein.
Mera nivedan hai – jhuti khabron par dhyan na dein. Un logon se savdhan rahen jo samaj ko baantna chahte hain. Hum sab ek hain – Hindu ho ya Muslim, Sikh ho ya Isaai – sabse pehla dharm hai insaniyat.
Main apne news channel ‘Sab Kuch Sach’ ke madhyam se bhi yeh wada karta hoon ki hum sirf sach dikhayenge, nafrat nahi. Na hi afwahen, na hi kisi pakshpaat ka saath.
Aaiye, milkar ek sandesh den:
Pyar baatna hai, nafrat nahi. Bhaichara banaye rakhna hai, duriyaan nahi.
Shukriya.
Khurram Choudhary
Manavta Foundation & Sab Kuch Sach