Naat lyrics

Naat lyrics this page share some of most famous and beautiful naats and hamds and manqabats this page is managed by Team Aasahiqaan e Rasool Hyderabad

17/07/2025

Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai

Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein g*y tum hi do g*y, tumhare dar se hi loo lagi hai

Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai

Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai

Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai

Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai

Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai

Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai

Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai

16/07/2025

Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain
Dil Ko Hum Matlaye Anwaar Banaye Huwe Hain

Kashtiyaan Apni Kinaare Pe Lagaye Huwe Hain
Kya Woh Doobey Jo Muhammad Ke Taraaye Huwe Hain?

Naam Aane Se Abu Bakr O Umar Ka Lab Par
Tu Bighardtha Hai Woh Pehloon Mein Sulaye Huwe Hain

Hazir O Nazir O Noor O Bashar O Ghaib Ko Chorh!
Shukr Kar Woh Tere ‘Aibon Ko Chupaye Huwe Hain

Sharm E Issyan Se Nahi Saamnay Jaaya Jaata
Yeh Bhi Kya Kam Hai, Tere Shehr Mein Aaye Huwe Hain?

Ik Jhalak Aaj Dikha Gumbad E Khazra Ke Makeen
Kuch Bhi Hain, Dhoor Se Deedar Ko Aaye Huwe Hain

Sar Pe Rakhdeejiye Zara Dast E Tassali Aqa
Ghum Ke Maare Hain Zamane Ke Sataye Huwe Hain

Teri Nisbat Hi To Hai Jis Ki Badaulat Hum Log
Kufr Ke Daur Mein, Iman Bachaaye Huwe Hain

Kaash Deewana Banalein Woh Humein Bhi Apna
Eik Dunya Ko Jo Deewana Banaye Huwe Hain

Bosa E Dar Se Na Rouk Ab To Inhe Darbaan
Khud Nahi Aye Yeh Mehmaan Bulaye Huwe Hain

Qabr Ki Neendh Se Udhna Koi Aasan Na Tha
Hum To Mehshar Mein Unhe Dekhne Aaye Huwe Hain

Kyun Na Palrha Terey Aamal Ka Bharee Ho Naseer
Ab To Mizaan Pe Sarkaar Bhi Aaye Huwe Hain

10/07/2025

yazeed badtareen hai, husain behtareen hai
yahi mera yaqeen hai, husain to haseen hai

falak ki samt jab nazar uThi to chaand par pa.Di
nazar ne chaand par lagaai phir sawaal ki jha.Di
sawaal chaand se kiya, jawaab chaand ne diya
ye kaisi chhaan–been hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai
husain to haseen hai, husain to haseen hai

yazeed jabr ka dhuwa.n, husain sabr ka nisha.n
yazeed meer-e–faasiqa.n, husain peer-e–‘aashiqaa.n
husain jaan-e–gulsita.n, husain shaan-e–meh–ruKHa.n
ye baat dil–nasheen hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai
husain to haseen hai, husain to haseen hai

nabi ke noor-e–‘ain ka, 'ali ke dil ke chain ka
lagao kaan jis taraf, hai naa‘ra ya husain ka
ye bolta hai india, kahe ye indonesia
yahi sada–e–cheen hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai
husain to haseen hai, husain to haseen hai

mera husain shaah bhi hai aur baadshaah bhi
mera husain deen bhi hai deen ki panaah bhi
ye baat kis–qadar hasee.n jo keh g*e mu‘een–e–dee.n
ye jumla–e–mu‘een hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai
husain to haseen hai, husain to haseen hai

raza ki fikr aaj bhi hai goonjti gali gali
hasan–husain phool hai.n to faatima hai ik kali
isi se jaan lo, miyaa.n ! ye baat maan lo, miyaa.n !
ye baat kuchh maheen hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai

labo.n ko un ke choom kar machal ke pyaas keh uThi
lab-e-husain ne bujha di 'umr bhar ki tishnagi
hai dang dast-e-karbala, sitam bhi thak ke bol uTha
sada-e-aafreen hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai
husain to haseen hai, husain to haseen hai

yazeed zehmat-e-daman, husain rehmat-e-chaman
yazeed raat ki ghuTan, husain sub.h ki kiran
husain shaan-e-anjuman, husain jaan-e-mard-o-zan
wo deen ka ameen hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai
husain to haseen hai, husain to haseen hai

nabi baaG saa koi gulaab khil na paaega
nawaasa-e-rasool ka jawaab mil na paaega
na un saa aaya hai koi, na un saa koi aaega
jawaab-e-naazireen hai, husain to haseen hai

husain to haseen hai, husain to haseen hai
husain to haseen hai, husain to haseen hai

30/06/2025

نعتِ رسولِ مقبول ﷺ

میری آنکھوں نے جس لمحے زیارت کی مدینے کی
ملی آغوشِ بخشش پھر محمدﷺ کے سفینے کی

بنایا تھا بُتِ آدم کو جب خالق نے ہاتھوں سے
جو منگوائی فرشتوں سے وہ تھی مٹی مدینے کی

گلوں میں گُل جو ہیں فخرِ چمن اور بادشاہ سب کے
ملی خوشبو گلابوں کو محمدﷺ کے پسینے کی

سمجھ پائے نہ اُمی کا اگر مطلب تو سُن واعظ
خُدا کے علم نے راہ لی , نبی مرسل کے سینے کی

عطا کوثر نبی کو کر کے بولا خالقِ مطلق
کہے ابتر تجھے کوئی، جسارت کس کمینے کی؟

تیرے کوچے سے اے آقا اگر ہم دور ہو جائیں
تمنا ہی نہیں ہے پھر ہمیں اس طرح جینے کی

شفا پاتے ہیں جس کے ذکر سے جن و ملک انساں
ملی بخشش رضا کو بھی اسی افضل قرینے کی

Meri aankhon ne jis lamhe ziarat ki Madine ki
Mili aaghosh-e-bakshish phir Muhammad ﷺ ke safeene ki

Banaya tha but-e-Aadam ko jab Khaaliq ne haathon se
Jo mangwaayi farishton se woh thi mitti Madine ki

Gulon mein gul jo hain fakhr-e-chaman aur baadshah sab ke
Mili khushboo gulaabon ko Muhammad ﷺ ke paseene ki

Samajh paaye na Ummi ka agar matlab to sun wa'iz
Khuda ke ilm ne raah li, Nabi-e-Mursil ke seene ki

Ata Kausar Nabi ko kar ke bola Khaaliq-e-Mutlaq
Kahe abtar tujhe koi, jura'at kis kameene ki?

Tere kooche se aye Aaqa agar hum door ho jaayein
Tamanna hi nahin hai phir humein is tarah jeene ki

Shifa paate hain jiske zikr se jinn o malak insaan
Mili bakhshish Raza ko bhi usi afzal qareene ki

30/06/2025

Baghe Jannat Ke Hain behre madha khan-e-Ahle baith
Tum ko mujda naar ka aye dushmanan-e-Ahle baith

Kis zaban se ho bayan izzo shane-e-Ahle baith
Madha goe Mustafa hai,madha Khan-e-Ahle baith

Unki p**i ka Khuda-e-pak karta hay bayan
Aya-e-Tatheer se zahir hay Shan-e-Ahle baith

Apna soda baich kar bazaar soona kar g*ee
Kon si basti basaee tajran-e-Ahle baith

Razm ka maidan bana hay jalwa gahe Husn-o-Ishq
Karbala main ho raha Imtehan-e-Ahle baith

Phool zakhmo kay khilae hai Hawae dost nay
Khoon say seencha gaya hai Gulsatan-e-Ahle baith

Jumma ka din hay kitab-ezeest kit eh kar kay aaj
Khailty hay jan par Shezadgan-e-Ahle baith

Aey shabab-e-fasl gul yeh chal g*i kaisi hawa
Kat raha hay lelehata bostan-e-Ahle baith

Kis shaqi ki hay hakomat ha-ee kiya andhair hay
Din dehare lut raha hay Karwan-e-Ahle baith

Kushk ho ja khak ho kar khak main mil ja Furat
Khak tujh par,daikh to sookhi zaban-e-Ahle baith

Teri qudrat janwar tak aab say serab hoo
Auo piyas ki shidat main tarpy bayzuban-e-Ahle baith

qafla salar manzil ko chaly hay sonp kar
waris bay warisa ko karwan-e-Ahle baith

Fatima(ra) kay laadly ka aakhri didar hay
Hashr ka hangama barpa hay mayan-e-Ahle bait

Waqt akhir keh raha hay khak main milta suhag
Ke loo salam aakhri aay bewgan-e-Ahle baith

Inke ghar mein be ijazat Jibrael aate nahi
Qadr wale jante hain qadr shane-e-Ahle baith

Be Adab Gustaakh Firke Ko Sunade Ae Hasan
Youn Kaha Karte Hai Sunni Daastaan e Ahle Bait

29/06/2025

Zikr-E-Aaqa Se Seena Saja Hai Ishq Hai Ye Tamasha Nahi Hai
Wo Bhi Dil Koi Dil Hai Jahan Main Jis Main Tasvire TAIBA Nahi Hai

Laa Makaan Tak Hai Teri Rasayi Geet Gati Hai Saari Khudayi
Wo Jaga Hi Nahi Do Jahan Main Jis Jaga Tera Charcha Nahi Hai

Hum Hussaini Hai Karbal Ke Shaida Dil Kabhi Bhi Na Hota Hai Maila
Kufr Ki Dhamkiyon Se Dare Jo Aashiqon Ka Kaleja Nahi Hai

Dushman-E-Mustafa Se Kehdo Khair Chahe To Hum Se Na Uljein
Hum Ghulaman-E-Ahmed Raza Hain Koi Bhi Hum Se Jeeta Nahi Hai

Khaak-E-Paaye Nabi Mou Pe Malna Ittar Ho Mustafa Ka Pasina
Unki Chadar Ka Tukda Kafan Ho Aur Koi Tamanna Nahi Hai

Haj Ki Daulath Jisse Milna Paye Jaye Jaye Wo Ghar Apne Jaye
Maa Ke Qadmon Ko Wo Chumlein Jo Sang-E-Aswad Ko Chuma Nahi Hai

Ae Meri Maut Ruk Ja Abhi Tu Phir Chaleinge Jahan Tu Kahegi
Apni Aankhon Se Aaqa Ka Rauza Main Ne Jee Bhar Ke Dekha Nahi Hai

27/06/2025

Aaya Na Hoga Iss Tarha, Rang O Shabab Rait Par
Gulshanay Fatima Kay Thay, Saray Gulaab Rait Par.

Janay Batool Kay Siwa, Koi Nahin Khila Saka
Qatra E Aab Kay Bagheir, Itnay Ghulaab Rait Par.

Ishq Main Kiya Lutaiye, Ishq Mein Kiya Bachaiye
Ale Nabi Nay Likh Diya. Sara Nissab Rait Par.

Jitnay Sawal Ishq Nay, Aal E Rasool Say Kiye
Eik Se Badhkar Eik Ne Diya, Sarey Jawab Reit Par.

Tarse Hussain Aab Ko,Me Jo Kahu To Be Adab
Lam Say Labe Hussain Ko, Tarsa Hai Aab Rait Par.

Lazzate So Jise Bilal , Sokhe Shahadate Hussain
Jis Ne Liya Yuhi Liya Apna Khitab Rait Par

Ale Nabi Ka Kaam Tha, Ale Nabi Hi Kar Gaye
Koi Na Likh Saka Adeeb Aisi Kitaab Rait Par.

27/06/2025

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam
Neze pe Qur'an padne wale Qari ko Salam
Raat Din bichhde huon ki Raah mein rehna khade
Hazrate Sugran Tumhari Intezari ko Salam

Sar se Chadar chhin gayi lekin nazar utthi nahin
Hazrate Zainab Tumhari Parda-dari ko Salam
Muskurate teg pe roshan kiya rangeen charag
Aqbaro Kasim Tumhari Jaan-Nisari ko Salam

Kat gaya kumba musibat sar pe aayi lut gayi
Ho gayi Bhai Bhatijon se judai lut gayi
Umar bhar ki daste gurbat mein kamaii lut gayi
Roke jab kehti thi Zainab haaye bhai lut gayi
Ghar Ali ka kya luta sari Khudai lut gayi

Har Imtihan mein Shabiro Shakir rahe Husain
Kohe Alam uthane ko hazir rahe Husain

Dhoke se kufiyon ne bula kar sitam kiya
Mehman be-watan ko bula kar sitam kiya

Khema lagana naher pe Ahmad ki aal ka
Pani bhi band kar diya Zahra ke Laal ka

Laashon ko bhanjon ki lahu mein sajake laaye
Toote hue Bahisht ke Taare uthake laaye

Aaya kisi ko paas na Roohe Rasool ka
Ghul kar diya charag Mazare Batul ka

Dastaar hai Husain ke sar pe Rasool ki
Thi maut bhi qabool to aesi qabool thi

Chahere pe jiske Maula Ali ka Jalal hai
Kabze mein jiske Bhai hasan ka kamaal hai
Mein kya kahun mein kaun meri kya majal hai
Sab jaante hein Fatima Zahra ka laal hai

Chehra Rasool ka labo lehja Rasool ka
Aankhon mein khinch raha hai saraapa Rasool ka

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam
Neze pe Qur'an padne wale Qari ko Salam

27/06/2025

Niraala Jiska Dhang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai
Zamaana Dekh, Dang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai

Wahabiyat Ki Chaah Ko, Yazeediyat Ki Raah Ko
Kiya Raza Ne Tang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai

Woh Gaon, Shehar Chhod Kar, Nabi Se Rishta Jod Kar
Pahaad Par Malang Hain, Ajab Hussaini Rang Hai

Hussainiyat Mein Lutf Kya Mila Ye Hur Se Poochiye
Hussain Ke Woh Sang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai

Jidhar Bhi Ran Mein Rukh Kiya, Safein B***a Ke Rakh Diya
Ye Haidari Tarang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai

Muharramul-Haraam Ne, Muhabbate-Imam Ne
Chhodaya Dil Ka Zang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai

Ulajh Ke Jo Kati Tabassume-Ali Ki Dor Se
Woh Shimr Ki Patang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai

Zamana Saath De, Na De, Asad Raza Ke Faiz Se
Akela Hi Dabang Hai, Ajab Hussaini Rang Hai

27/06/2025

Nabi Ke Nawase Shari’at Bachane
Madine Se Karbo-Bala Aa Gaye Hain
Lahu Se Chaman Deene-Haq Ka Sajane
Madine Se Karbo-Bala Aa Gaye Hain

Zaroorat Padi To Luta Denge Ghar Bhi
Rahe-Haq Mein Apna Kata Denge Sar Bhi
Zahra Ke Dilbar Hain Kya Baat Unki
Raza-E-Ilahi Mein Denge Pisar Bhi
Gunahgar Ummat Ki Bakhshish Karane
Madine Se Karbo-Bala Aa Gaye Hain

Sajayenge Islam Ke Gulsitaan Ko
Batayenge Shaane-Nabi Is Jahan Ko
Hai Kitni Balandi Pe Parcham Ye Deen Ka
Dikhayenge Karbal Se Arzo-Samaa Ko
Neze Pe Chadh Kar Ke Quran Sunane
Madine Se Karbo-Bala Aa Gaye Hain

Ye Nanha Sa Bachcha Hai Ma’soom Asgar
Chale Leke Maidan Mein Hai Ibne-Haider
Chhupaqne Lage Sharm Se Munh Yazeedi
Jo Chehre Pe Dekha Ali Ka Hai Tewar
Woh Teeron Ki Barish Mein Bhi Muskurane
Madine Se Karbo-Bala Aa Gaye Hain

Hai Abbas Ki Shaan Woh Shaan-E-Ali
Woh Guzre Jidhur Se Ho Maidan Khaali
Woh Dariya Mein Reh Kar Piye Kaise Paani
Tasawwur Mein Jiske Sakina Ho Waali
Woh Deene-Nabi Ka Alam Leh-Lahane
Madine Se Karbo-Bala Aa Gaye Hain

27/06/2025

Dosti Nibhaate Hain Ye Khata Nahin Karte
Ham Hussain Waale Hain Ham Daga Nahin Karte

Zikre-Shaahe-Sarwar Ne Kar Diya Hai Aaina
Aise, Waise Ab Mera Saamna Nahin Karte

Jinke Khoon Mein Khoone-Mustafa Ki Khushbu Hai
Woh Sitam Ke Badle Bhi Baddua Nahin Karte

Hashr Mein Shafa’at Ki Kis Se Bheekh MaangenGe
Jo Yahan Kabhi Zikre-Karbala Nahin Karte

27/06/2025

Barsega Karam Dekhna Tum Arshe-Bari Se
Aaya Hai Bulaawa Mujhe Karbal Ki Zameen Se

Main Maula Ali Fatima Zahra Ka Pisar Hun
Har Dushmane-Deen Ke Liye Ek Shere-Babar Hun
Is Baat Ka Ailaan Karunga Main Wahin Se
Aaya Hai Bulaawa Mujhe Karbal Ki Zameen Se

Naana Hai Mere Nabiyon Ke Sardaar Samajh Le
Aur Khuld Ke Hain Maaliko-Mukhtar Samajh Le
Keh De Ye Koi Jaake Zara Shimre-Laeen Se
Aaya Hai Bulaawa Mujhe Karbal Ki Zameen Se

Main Woh Hun Jise Chhuhte Rehte The Shahe-Deen
Itna Hi Nahin Sungte Rehte The Shahe-Deen
Joda Mera MangWaya Gaya Khulde-Bari Se
Aaya Hai Bulaawa Mujhe Karbal Ki Zameen Se

Shabbir Tumhein Deen Ki Azmat Hai Bachana
Sar Apna Tumhein Raahe-Khuda Mein Hai Katana
Paighaam Mila Hai Yahi Jibraeel-e-Ameen Se
Aaya Hai Bulaawa Mujhe Darbar-e-Nabi Se

Address

Hyderabad

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Naat lyrics posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Naat lyrics:

Share