23/05/2026
Jyeshtha Maas ki Purnima ko *Dev Snan Purnima* kaha jaata hai…
Aur isi din ko Thakur Ji ka *Appearance Day* bhi maana jaata hai 🤍
Kaha jaata hai ki is din Thakur Ji ke Mahasnan ke darshan maatra se janam-maran ke chakra se mukti milti hai ✨
Bhishan garmi mein Thakur Ji ko sheetalta dene ke liye 108 pavitra kalashon ke jal se unka abhishek kiya jaata hai…
Jisme chandan, kapoor, kesar aur sugandhit jadibootiyan milayi jaati hain 🌸
Mahasnan ke baad Thakur Ji *Gaj Vesh* dhaaran karte hain 🐘
Aur phir sheetal snan ke kaaran unhe “jwar” aa jaata hai…
Jiske baad ve 15 din ke liye *Anavasar* (ekantvaas) mein chale jaate hain 🙏..