Al ilm un noor

Al ilm un noor “Qur’an o Hadith ki roshni me deeni ilm ka safar.”

✨Alwida Mahe Ramzan Shareef… 🌙Ramzan rukhsat ho raha hai,Magar yeh gawahi dekar ja raha haike kisne roza rakha,kisne nam...
20/03/2026

✨

Alwida Mahe Ramzan Shareef… 🌙

Ramzan rukhsat ho raha hai,
Magar yeh gawahi dekar ja raha hai
ke kisne roza rakha,
kisne namaz padhi,
aur kisne sirf din guzar diye…

Khush naseeb hai wo log
jo Ramzan se maafi lekar ja rahe hain,
aur badnaseeb hai wo
jo Ramzan paakar bhi badal na sake…

Ya Allah 🤲
Humein Ramzan ke baad bhi
namaz, roza aur nek amal par qayam rakh.


✨ Shab-e-Qadr ki Raat – Fazilat, Ahmiyat aur Amal ✨Shab-e-Qadr bohot badi aur barkat wali raat hai. Is raat ki ibadat 10...
14/03/2026

✨ Shab-e-Qadr ki Raat – Fazilat, Ahmiyat aur Amal ✨
Shab-e-Qadr bohot badi aur barkat wali raat hai. Is raat ki ibadat 1000 mahino se behtar hai. Is liye har Musalman ko chahiye ke is raat ko ghaflat me na guzare balki ibadat, dua aur tauba me lagaye.
🌙 Shab-e-Qadr ki Fazilat
Ye raat bohot afzal raat hai
Is raat me ibadat ka sawab hazaron mahino se zyada milta hai
Is raat me farishte zameen par utarte hain
Is raat me dua qubool hoti hai
Gunah maaf hote hain
🤲 Is raat me kya karein
✅ Nafl namaz zyada padhen
✅ Quran ki tilawat karein
✅ Tasbeeh, zikr, durood sharif padhen
✅ Tauba aur istighfar karein
✅ Dua karein apne liye aur sab ke liye
✅ Agar farz ki qaza baqi hai to nawafil ke bajaye qaza namaz padhen, iska sawab zyada hai
✅ Salat-ut-Tasbeeh, Tahajjud, aur dusre nawafil padhen
❌ Is raat me kya na karein
❌ Mobile, baaton aur faltu cheezon me waqt zaya na karein
❌ Gunaah se bachen
❌ Ladai, jhagda, ghibat se bachen
❌ Sirf jagna hi maqsad na ho, ibadat zaroor karein
⭐ Ahm baat
Agar kisi ke zimmedari me farz namaz ki qaza hai,
to uske liye behtar hai ke pehle qaza ada kare, phir nawafil padhe.
🌙 Allah hume Shab-e-Qadr ki qadr karne ki taufeeq ata farmaaye. Ameen







✨

✅ Mukhtasar Tariqa Qaza Namaz ka(jo Ala Hazrat ne bataya – jab qaza zyada ho)✅ NiyatNiyat kare ke falan farz ki qaza pad...
14/03/2026

✅ Mukhtasar Tariqa Qaza Namaz ka
(jo Ala Hazrat ne bataya – jab qaza zyada ho)
✅ Niyat
Niyat kare ke falan farz ki qaza padh raha hoon.
✅ Agar 2 rakaat farz ki qaza ho
Takbeer-e-Tahreema
Allahu Akbar keh kar namaz shuru kare
Sana na padhe (chhod sakte hain)
Sirf Surah Fatiha + ek Surah padhe
Ruku aur Sajda poora kare
Tasbeeh kam se kam 1 martaba padhe
Isi tarah dusri rakaat mukammal kare
Qaida me sirf Attahiyyat padhe
Durood e Ibraheem sirf itna padhe
Allahumma salli ala Muhammad wa ala Aali Muhammad
Salam pher de
✅ Agar 4 rakaat farz ki qaza ho
Pehli 2 rakaat upar wale tareeqe se padhe
Dusri rakaat me Attahiyyat ke baad
teesri rakaat ke liye khade ho jaen
Teesri aur chauthi rakaat me
sirf 3 baar Subhanallah padhe
phir ruku sajda kare
Ruku aur Sajda ki tasbeeh
kam se kam 1 baar
Chauthi rakaat ke baad Qaida
Attahiyyat padhe
Phir sirf itna durood padhe
Allahumma salli ala Muhammad wa ala Aali Muhammad
Phir salam pher de
✅ Zaroori baat
✔ Farz ki qaza jaldi puri karna zaroori hai
✔ Nawafil se pehle qaza padhna behtar hai
✔ Mukhtasar tareeqa jaiz hai jab qaza zyada ho
✔ Arkaan ki adaygi sahi hona zaroori hai

Salat-ut-Tasbeeh 4 rakat namaz hoti hai, isme ek khaas tasbeeh 300 martaba padhi jati hai.Padhi jane wali tasbeeh:"Subha...
14/03/2026

Salat-ut-Tasbeeh 4 rakat namaz hoti hai, isme ek khaas tasbeeh 300 martaba padhi jati hai.
Padhi jane wali tasbeeh:
"Subhanallahi walhamdulillahi wala ilaha illallahu wallahu akbar"

Rakat 1
Sana padhne ke baad
Tasbeeh 15 martaba
Surah Fatiha + Surah ke baad
Tasbeeh 10 martaba
Ruku me
Tasbeeh 10 martaba
Ruku se uth kar (qauma me)
Tasbeeh 10 martaba
Sajda me
Tasbeeh 10 martaba
Do sajdon ke beech
Tasbeeh 10 martaba
Dusre sajde me
Tasbeeh 10 martaba

Total = 75

Ek rakat mukammal hui

Dusri Rakaat me Qirat se pehle tasbeeh padhna hai
Uske baad pehli Rakat ki tarah
Isi tarah har rakat me 75 tasbeeh
4 rakat me total = 300 tasbeeh

✨ Sachi dua ka ajeeb waqia ✨Ramzan me ek naik khatoon roz iftar se pehle apne bachon ko jama karti aur dua karti:🤲 "Ilah...
12/03/2026

✨ Sachi dua ka ajeeb waqia ✨
Ramzan me ek naik khatoon roz iftar se pehle apne bachon ko jama karti aur dua karti:
🤲 "Ilahi hamein apna ghar ata kar jis ke aage ek nehar ho."
Shohar haste the aur kehte the:
Sehra me nehar kahan se aayegi?
Lekin khatoon ka yaqeen mazboot tha.
Ramzan ke baad achanak ek ameer aadmi ne unke shohar ko aadha ghar de diya. 🏠
Jab ghar mila to khatoon ne dekha ke nehar nahi hai…
Ek aalim ne poocha:
Tumhare ghar ke samne kya hai?
Kaha: Masjid hai. 🕌
Aalim ne farmaya:
Yahi to nehar hai…
Kyuki Hadees me hai ke 5 waqt ki namaz gunahon ko is tarah dhoti hai jaise nehar me nahaana. 💧
💫 Sabaq:
Sachi niyyat aur yaqeen ke saath maangi hui dua kabhi zaya nahi hoti.








Musalsal mutala se hafiza taiz hota haiAmeer-ul-Momineen fil-hadith Hazrat Imam Bukhari rahmatullahi alaih se poocha gay...
12/03/2026

Musalsal mutala se hafiza taiz hota hai
Ameer-ul-Momineen fil-hadith Hazrat Imam Bukhari rahmatullahi alaih se poocha gaya ke aap kaise itne bade hafiz bane ke duniya aap ko hafiz-e-hadith ke naam se jaanti hai?
To aap ne jawab diya:
"Kitabon ka mutala musalsal jari rakha jaye."
(Yani isi se hafiza mazboot hota hai)

Lehaza jo aalim apna ilm mehfooz rakhna chahta hai use mutala zaroor karte rehna chahiye.
Is ke baghair ilm mehfooz nahi rehta, aur na hi dimagh me us ki gehrai baqi rehti hai.
Agar mutala chhoot jaye to dimagh me mehfooz uloom bhi dheere dheere rukhsat hone lagte hain.

20 Ramzan ul Mubarak – Etikaaf 🕌🌙✨1️⃣ Etikaaf kya haiEtikaaf ye hai ke banda Allah ki ibadat ki niyat se masjid me theha...
10/03/2026

20 Ramzan ul Mubarak – Etikaaf 🕌🌙✨

1️⃣ Etikaaf kya hai

Etikaaf ye hai ke banda Allah ki ibadat ki niyat se masjid me thehar jaye 🤲aur duniya ke kaamon se alag ho kar namaz, tilawat, zikr aur dua me mashgool rahe 📖

2️⃣ Etikaaf kab kiya jata hai

Etikaaf Ramzan Shareef ke aakhri 10 dinon me kiya jata hai ⏳Yani 20 Ramzan ki shaam se lekar Chand raat tak masjid me reh kar ibadat ki jati hai 🕌Ye Sunnat-e-Muakkadah Kifayah hai 📜

3️⃣ Etikaaf ki fazilat

Hadees Shareef me hai ke jo shakhs Ramzan ke aakhri ashre ka Etikaaf karta hai 🤲use do Hajj aur do Umrah ka sawab milta hai 🕋🕋Etikaaf gunaahon se bachata hai ❌dil ko noor deta hai ✨aur Allah ki rahmat ko apni taraf khinch leta hai 🌧️

Aaj 20 Ramzan haiEtikaaf ki niyat karein aur is azeem ibadat ki barkat hasil karein 🤲


20 Ramzan-ul-Mubarak | Fath-e-MakkahAaj ka din hamein yeh dars deta hai ke jab Allah fatah deta hai to banda ghuroor nah...
09/03/2026

20 Ramzan-ul-Mubarak | Fath-e-Makkah
Aaj ka din hamein yeh dars deta hai ke jab Allah fatah deta hai to banda ghuroor nahi karta, balki aur zyada jhuk jata hai.
Fath-e-Makkah duniya ki sab se badi jeet thi, lekin is din talwar nahi, maafi aur rehmat ka ghalba hua.
Allah hamein bhi ajzi, sabr aur maaf karne ka jazba ata farmaaye. 🤲✨

17 RamzanJang-e-Badr“Jab banda Allah par poora yaqeen rakhta hai,to thodi taqat bhi badi quwwaton par ghalib aa jati hai...
06/03/2026

17 Ramzan
Jang-e-Badr
“Jab banda Allah par poora yaqeen rakhta hai,
to thodi taqat bhi badi quwwaton par ghalib aa jati hai.
Jang-e-Badr humein imaan, sabr aur tawakkul ka dars deti hai.”


Jumma ka din rehmat, maghfirat aur barkat ka din hai.Aaj ke din apne dil ko saaf karein, zyada se zyada durood shareef p...
06/03/2026

Jumma ka din rehmat, maghfirat aur barkat ka din hai.
Aaj ke din apne dil ko saaf karein, zyada se zyada durood shareef padhein aur Allah se apni maghfirat talab karein.
Ho sakta hai aaj ki ek chhoti si dua, aapki zindagi badal de.
Allah se dua hai ke wo hum sab ko Jumma ki barkaton se hissa ata farmaaye, hamare gunahon ko maaf kare, rizq mein barkat de, aur hamein apni rahmat ke saaye mein rakhe. Aameen.
Jumma Mubarak 🌙





05/03/2026
Kisi se apna muwazna mat karein,Kam pehn lein, sasta pehn lein, saada kha lein lekin halal khayein,Sharm Allah se aani c...
04/03/2026

Kisi se apna muwazna mat karein,

Kam pehn lein, sasta pehn lein, saada kha lein lekin halal khayein,

Sharm Allah se aani chahiye, bandon se nahi.

Logon ki nazron mein bada banne ke bajaye
Allah ke bargah mein maqbool banne ki koshish karein.

Address

Gainta Road Ashok Nagar Itawa Kota Rajasthan
Kota
325004

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Al ilm un noor posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

Share