Khud Se Rubaru

Khud Se Rubaru Khud se milne ka safar 🙏
Soch | Sach | Zindagi
Dil ki baat, bina mukhote ke 💫

14/04/2026

🌙 करते करते…

करते करते…
इंसान एक दिन थक जाता है।

सबके लिए करते करते…
कोशिश करते करते…
अपनों के लिए जीते जीते…
खुद कहीं पीछे छूट जाता है।

वो जीता है
उनकी खुशी के लिए…
हर दिन कोशिश करता है
उन्हें मुस्कुराने के लिए…

पर धीरे धीरे
खुद से दूर होता जाता है।

सबको समझाते समझाते —
ऐसा मत करो…
वैसा मत करो…

वो खुद ही
अंदर से टूट जाता है।

दिल में बहुत कुछ होता है…
पर कह नहीं पाता…

और जब कभी
गुस्सा बाहर आता है…
तो लोग कहते हैं —
तुम बदल गए हो…

कोई ये नहीं समझता
कि वो गुस्सा नहीं…
थकान होती है।

जब तक तुम
किसी के लिए अच्छे हो…
तब तक सब ठीक लगता है…

पर जैसे ही तुम
खुद के लिए खड़े होते हो…
तुम गलत लगने लगते हो।

लोग सुनते हैं…
पर समझते नहीं।

अपनी गलती
देखना तो दूर…
महसूस तक नहीं करते।

हर किसी को लगता है —
वो सही है…
और सामने वाला गलत।

और धीरे धीरे…
बात करना भी बंद हो जाता है।

याद नहीं…
भूल गया…

ऐसे ही शब्दों के बीच
रिश्ते खो जाते हैं।

और इंसान…
सबके लिए जीते जीते…
खुद को खो देता है।

🌙 Thakan, Khamoshi aur ZimmedariKabhi kabhi…kuch samajh nahi aata.Kya karun…kahan jaun…kis se kahun…Kabhi lagta haisab t...
01/04/2026

🌙 Thakan, Khamoshi aur Zimmedari

Kabhi kabhi…
kuch samajh nahi aata.

Kya karun…
kahan jaun…
kis se kahun…

Kabhi lagta hai
sab theek ho jayega…
par phir wahi khamoshi
andar se tod deti hai.

Thak gaya hoon zindagi se…
ab kuch kehne ka bhi mann nahi karta.

Akele rehne ka mann karta hai…
bilkul chup rehne ka…
jaise sab awaazon se door
khud me kahin kho jaun.

Kabhi lagta hai
in ghamon se nikal jaun…
par phir lagta hai
inhi me dhal jaun.

Andar kuch theek nahi hota…
par bahar
sab theek dikhana padta hai.

Chehre par muskaan hoti hai…
par dil me sukoon nahi hota.

Sar dard karta rehta hai…
par asli dard to
andar hota hai.

Koi poochta bhi nahi
ki kya chal raha hai…

Aur hum batate bhi nahi…
kyunki samajhne wala
koi hota hi nahi.

Thak gaya hoon
sabko samjhate samjhate…
aur khud ko samjhate samjhate bhi.

Ab na kisi se kuch kehna hai…
na kisi se kuch sunna hai.

Par zindagi…
rukne nahi deti.

Ladka hoon…
kehte hain thak nahi sakta.

Mard hoon…
kehte hain ruk nahi sakta.

Pita hoon…
kehte hain toot nahi sakta.

Pati hoon…
kehte hain thak nahi sakta.

Har taraf bas yahi sunai deta hai —
“Majboot raho…”

Par koi ye nahi poochta…
andar kitna bojh hai.

Hum bhi insaan hain…
hume bhi dard hota hai…
hume bhi thakan hoti hai.

Kabhi dil karta hai
koi bas itna keh de —

“Thak gaye ho?
aaj aaram kar lo…”

Par yahan…
thakne ka bhi haq nahi milta.

Sach to ye hai —
hum thak jaate hain…
par rukna nahi chahte.

Toot jaate hain…
par dikhana nahi chahte.

Bas chalte rehte hain…
khud ke liye nahi,
un logon ke liye
jo hum par depend karte hain.

Aur shayad…

isi ka naam hai —
Zimmedari...

✨ Khud Se Rubaru…

27/03/2026

“वो कहता था… यही मेरा घर है”

आज शाम जब मैं सैर करने निकला,
तो रास्ते में एक आदमी दिखा…

चुप… अकेला…
और जैसे किसी गहरी सोच में डूबा हुआ।

मैं उसे देख कर आगे बढ़ गया…
लेकिन वापस आते समय दिल ने कहा —
“रुक जा… इसकी खामोशी कुछ कह रही है…”

मैं उसके पास जाकर बैठ गया,
और पूछा —
“भाई, क्या हुआ? इतने उदास क्यों हो?
घर नहीं गए?”

वो हल्का सा मुस्कुराया…
और बोला —
“यही मेरा घर है…”

मैं चौंक गया…

मैंने पूछा —
“बीवी? बच्चे?”

वो बोला —
“हैं… सब हैं…
लेकिन अब दिल यहीं लगता है…”

उसकी बातों में उलझन थी…
दर्द था…
और एक टूटा हुआ इंसान था।

वो कह रहा था —
“पहले जमीन थी… घर था…
सब छोड़ दिया… सब दे दिया…”

मैंने पूछा —
“क्यों?”

वो कुछ देर चुप रहा…
फिर बोला —
“दिमाग ठीक नहीं रहता…
दिल नहीं लगता वहाँ…”

मैंने उसके साथ बैठकर एक ठंडी बोतल पी…
वो एक छोटे बच्चे की तरह खुश हो गया…

लेकिन उसकी आँखों में…
कई सालों का दर्द छुपा था।

जब मैं जाने लगा,
उसने हाथ मिलाया…

और मैं बस यही सोचता रह गया —

कभी-कभी इंसान घर नहीं छोड़ता…
हालात उसे घर से निकाल देते हैं…

Khud Se Rubaru

“Perfect Ka Intezaar”Kabhi kabhi lagta hai…insaan galat jagah galat insaan chun leta hai.Phir sochte hain —shayad galti ...
23/03/2026

“Perfect Ka Intezaar”

Kabhi kabhi lagta hai…
insaan galat jagah galat insaan chun leta hai.

Phir sochte hain —
shayad galti ho gayi.

Par sach kahu…
masla insaan chunne ka nahi hota.

Masla ye hota hai
ki hum perfect dhoondte rehte hain…
aur zindagi me
koi perfect hota hi nahi.

Har insaan apni kami ke saath aata hai.

Kisi ke paas paisa hota hai,
par waqt nahi hota…

Kisi ke paas waqt hota hai,
par paisa nahi hota.

Koi bahut romantic hota hai…
par us par bharosa nahi hota.

Aur koi itna simple, itna loyal hota hai…
ki woh boring lagne lagta hai.

Jo sach bolta hai
uski baatein kadvi lagti hain…

Aur jo jhooth bolta hai
woh kuch waqt ke liye achha lagta hai.

Jo hamesha paas hota hai,
uski kadar nahi hoti…

Aur jo door chala jaata hai,
uski ahmiyat samajh aati hai.

Zindagi ka ajeeb hisaab hai…
Jo milta hai
usme kami dikh jaati hai…

Aur jo nahi milta
woh perfect lagne lagta hai.

Isliye shayad…
perfect insaan ka intezaar karna
sirf waqt khona hai.

Kyunki zindagi perfect log nahi deti…
sirf asal log deti hai.

Aur asal log
apni sachchai ke saath aate hain…
apni kami ke saath aate hain.

Bas farq itna sa hota hai —
kisi ki kami tumhe qabool ho jaati hai…
aur kisi ki nahi.

Aur wahi se
rishton ka faisla hota hai.

Aur agar tum…
sach me kisi sacche insaan ka intezaar kar rahe ho…

toh jaldi mat karna.

Kyunki sachha insaan mil jaaye…
toh pyaar sirf hota nahi…
reh jaata hai.

Woh pyaar
jo waqt ke saath kam nahi hota…
jo har mushkil ke baad bhi tikta hai…

Aur shayad…
woh pyaar kabhi marta nahi.

Khud Se Rubaru

Address

Muzaffarnagar
251001

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Khud Se Rubaru posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share