Idara Nashrul Uloom

Idara Nashrul Uloom ادارہ نشرالعلوم ایک ابھرتا ہوا دینی ادارہ ہے۔ اس ادارے سے ایک ماہانہ رسالہ الدعوۃ الی اللہ کے نام سے شائع ہوتا ہے۔

11/08/2012

4) Salaam ka jawaab doa, aankhhain (naa-jaa-iz nazar say) band rakhhoa aur baat koa achhi tarha say karoa. (Bukhaari, Muslim)

10/08/2012

Joa tum khhailtay hoa us main teer-andaazi behtreen khhail hay. (Al-Hadeeth: Musnad-ul-Firdaus)

08/08/2012

Raham karay allah us par joa musalmaanoon ki aabroo raisi say zabaan band rakhhta hay. ( Al-Hadeeth: Musnad-ul-Firdaus)

07/08/2012

Husn-e-Akhlaaq dunya aur aakhirat ki sab bhala-iyaan lay gaya. (Al-Hadeeth: Musnad-ul-Firdaus)

07/08/2012

Ramadhaan main yaad-e-Khuda karnay waala bakhsha jata hay aur is main sawaal karnay waala mahroom nahin hoata. (Al-Hadeeth: Tabraani)

02/08/2012

Mafhom e Quran: Tum main se Jo Shakhs bhe Yeh (Ramazan ka) Mahina Paye Wo Es main Zaroor (Poray Mahinay k) Rozay Rakhay (Surah Baqarah, Ayat # 185) >>Mafhom e Hadees: JANNAT ka 1 Darwaza hay, Jise RAYYAN kehtay hain, Qiyamat k Din es Darwazay se sirf Rozay'Dar he JANNAT main Dakhil hon gay (Bukhari, Hadees # 1896, Kitab us Soum, Baab: Roza Daron k liye Rayyan (Darwazay) ka bayan, Ravi: Sahal Bin Saad Razi Allah Anho)

30/07/2012

Mafhom e Hadees # 1: Nabi Alaihe Salam ne Farmaya: Jab Ramazan aye to Tum 1 UMRAH kar lena k eska Sawab Hajj k Barabar hay (Muslim, Hadees # 3038, Kitab uL Hajj, Baab: Ramazan main Umra karnay ki Fazilat, Ravi: ibne Abbas Razi Allah Anhuma) Mafhom e Hadees # 2: iftar k Waqt Roza'Dar ki Dua Rad nahi hoti (Ibne Maja, Hadees # 1753, Kitab us Siyam, Baab: Roza'Dar ki Dua Rad nahi hoti, Ravi: Abdullah Bin Amr Rz.A)

27/07/2012

Mafhom e Hadees # 1: Jab koi Bhool gaya aor Kuch Kha lia to osay Chahiye k Apna Roza Pora Karay, Kion k usko ALLAH ne khilaya aor Pilaya (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1933, Baab: Agar Roza'Dar Bhol kar Kha p*e lay, Ravi: Abo Horaira Rz.A) Mafhom e Hadees # 2: Har cheez ki Zakat hoti hay Aor J**m ki Zakat Roza hay (Ibne Maja, Hadees # 1745, Kitab us Siyam, Baab: Roza J**m ki Zakat hay, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

26/07/2012

Baab: Roza ki Fazilat, Mafhom e Hadees: Nabi SalLalLahu Alaihe Wasallam ne Farmaya: Roza Dozakh se bachnay k Liye 1 Dhaal hay, Es Liye Roza'Dar na Fohsh batain karay, Na Jahalat ki Batain karay, Aor Agar koi Shakhs Roza'Dar se larai karay ya Osay Gali day to uska jawab sirf yeh hona chahiye k Main Roza Dar hon (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Ravi: Abo Horaira Razi Allah Anho)

25/07/2012

Mafhom e Hadees: JANNAT ka 1 Darwaza hay, Jise RAYYAN kehtay hain, Qiyamat k Din es Darwazay se sirf Rozay'Dar he JANNAT main Dakhil hon gay (Bukhari, Hadees # 1896, Kitab us Soum, Baab: Roza Daron k liye Rayyan (Darwazay) ka bayan, Ravi: Sahal Bin Saad Razi Allah Anho)

24/07/2012

Mafhom e Quran: Aay Eemaan Walo...! Tum Per Rozay Farz Kar Diye Gaye Hain, Jis tarah Tum se Pehlay Logon Par Farz Kiye Gaye thay Ta K Tumharay Andar Taqwa Paida ho (Surah Baqarah, Ayat # 183, Para # 2) Mafhom e Hadees: Roza'Dar k Moun ki Khushbo ALLAH k Nazdeeq Mushak ki Khushbo se bhe ziada Pasandida hay (Bukhari, Kitab us Soum, Hadees # 1894, Baab: Roza ki Fazilat, Ravi: Abo Horaira Rz.A)

24/07/2012

Assalam o Alaikum! Pichlay kuch Dino Se SMS Na Bhejnay Ki Waja Se Idara Aap Se Ma'zrat Khawah Hay.Ab Se Insha Allah Ap Ko Rozna SmS Milen Ge

07/07/2012

Dawat Ilallah Hi Wo Azeem Kaam Hay Jis K Liye Ye Ummat Dunya Me Bahiji G*i. Dawat Ilallah Allah Ki Madad-o-Nusrat Ka Hathyar Or Insano Ki Kamyabi Ka Asaasa Hay.

06/07/2012
06/07/2012

Dawat Ilallah Se Tamam Anbiya Kiraam, Sahaba-e-Kiraam or Oliya-e-Kiraam Ki Mushabihat Naseeb Ho Gi Or Jannat Me In Ka Paroos Milay Ga. Read Monthly Dawat Ilallah.

04/07/2012

Dawat Ilallah Ki Barkat Se Cheennnay Yani Lainay Ka Mizaaj Khatam Hota Ja Raha Hay Or Dainay Ka Mizaaj Banta Ja Raha Hay. Read Monthly Addawto-e-Ilallah...

Address

Main Market, Multan Road Near Canal View Society
Lahore

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Idara Nashrul Uloom posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Idara Nashrul Uloom:

Share