~~ Kya hoti hain yeh Betiyaan ~~ guys yeh page ka naam hmary liye ak sawal hai.... k q hn main beti mery kya faraz hain mery kya haqoq hain?maine esa kya kia k main achi beti bn skon? >> bint-e-adam ....... bint-e-hawaa
'izat' hoon ,,,
=> mein biwi hoon to 'shohrat' hoon ,,,
=> mein maan hoon to 'jannat' hoon ,,,
kehne waly ne hi sach nahin kaha tha ,
ya nayi tehzeeb or rasm-o-rawaaj ke man'nay waly logon ne
is qabil-e-aitebar haqeeqat ko jhoot ka kafan pehna kar
talkhiyon ke qabaristaan mein zair-e-khaak kar dia hai ,
"mein nahi janti"
"magar haan"
> aye din meri zaat ko naye zulm-o-sitam or na'guzeer jabar se mutaraf karaya jata hai <
1. kabhi mere wajood par lipti haya ki chadar ko taaar taar kar dia jata hai.
2. kabhi mere wajood ko ibn-e-adam ki hawas ke mazboot shakanjy mein noch dia jata hai.
3. kabhi mere wajood ke chand hisson ko mere tan se kaat kar juda kar dia jata hai.
.amal mein is tarah laya hai mujko ibn-e-adam ne...kisi bache ne khaila aur khilona torh dia jaisy.. "mujhe bataiye"
=> kya qur'aan-o-sunnat mein meri yahi hesiat bayaan ki gyi hai..
=> kya 73 ke ain mein mera yahi muqaam bataya gya hai.. "agar haan to theek hai"
"agar nahin to kyun......akhir kyun ???
1. kya meri zindagi ke koi maqasid nahin ?
2. kya meri soch aur iraady ki koi ahmiat nahin ?
3. kya meri khawaishaat ki koi qadar-o-qeemat nahin ?
4. kya mere dil ko behlanay ka koi sar-o-samaa'n nahin ?
5. kya mere honton ko muskaranay ka koi haq nahi ?
6. kya dil sirf mard hi rakhtay hein ?
7. kya aurat dil nahin rakhti ? "mujhe bataiye.......khudara bataiye"
>>ke mein kis adalat mein apne haq-o-insaf ki awaaz uthaun ?
=> mein kis waqeel ko apni daleelon ka mahafiz banaun ?
=> mein kis ahl-e-nasheen ko apna gawah thehraun ? kya koi mujhe insaf dilaye ga ? "agar haan to kab ? "agar nahi to
"mein aurat kyun hoon ....??