K Wo Zindagi K kisi Mor Pe Tum Se Bhi Ziyada Royega.
IMAM M0LA ALi_a.s
Agar koi pyaar karney wala insan tum per gussa karna chorde samaj jao tum os ki nazr main apni ehmiyat kho chukey ho..Imam Ali as
Maula Ali (a.s)
*Ikhlaq wo cheez hai jis ki keemat kuch nai deni parti
han magar is se her insaan khareeda ja skta hai....
*"Kainat Ki Sab Say Mehngi Cheez
"Ehsaas" Hai,
Jo Duniya K Har Insaan K Pass Nahi Hota.
*Khush Qismat Hai Woh Insaan, Jis Ke Liye Koi Roye' Aur
Bad'Qismat Hai Woh Shakhs Jis Ki Waja Se Koi Roye'
"*Apne Dil pe hukomat karna seeko,
Dil ko apne aap per hukomat karne mat do,
'Kyun ke Dil tumare J**m ka hissa hai,
Tum Dil ka hissa nahi ho.
*Hr Insan Ki Khushi Ki Waja Bano Khushi Ka Hissa Ni
Or
Hr Insan K Dukh Ka Hissa Bano Dukh Ki Waja Ni.
Mola Ali A S
*Rishte Chahe Jitne Bhi Bure ho lekin Kabhi bhi Unhe Mat Todna,
Kyu ki,
Paani Chahe Kitna Bhi Ganda Ho Pyas nahi to aag to Bhujhata hi hai.
Apne Anso'n Ko Itna Mehnga Karo,
K Koi Unhe Lane Ki Koshish Na Kary
Or
Apni Muskaan Ko itna Sasta Kar do
K Har Koi us ko paney Ki Chahat Kare.
Agr Tum Us waqt Muskura Sakte ho jb Tum pori tarah Toot chuke ho to,
YAQEEN jano dunya Mein tumhein kabhi koi Tor nai Sakta
Hazrat ALI (A.S)
*Apno Ki Koi Bat Buri Lge To
Khamosh Ho Jao Agr Wo Apna Hy To
Samajh Jaye Ga Or Agr Na Smjhe
To Tum Smjh Lena K Wo Tmhara
Apna Nahi.
*Insan Ke Kirdar Ki 2 Hi
Manzilein Hain,
Ek Dil Mein Utar Jana,
Phr Dil Sae Utar Jana."
*Jo tumhari qadar na kare tum us ki aur qadar karo keyunke zindagi k kisi na kisi mor pe us ko tmhari qadar zarur hogi....
*'Mohabbat '' sab say karo...lakin us
say aur b ziada karo jis k dil mai tumharay liye tum say b ziada ''
muhabbat'' hai.....
*Kisi Ka Dil Mat Dukhao,
Ho Skta Ha Wo Tmhein Aise
Chahta Ho Jese Marne Wala
Zindgi?.!
*Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay
*Us se zaroor Maafi Mango Jisay tum chahte ho
Usey Mat chhoro jo tumhe chahta ho
Usse kuch na chhupao jo TUM per Aitebar karay,,,,
*Jis Sy Mohabbat Ki Jaye Us Sy Muqabla Nahi Kiya Jata"
Kisi Ko Paa Lena Mohabbat Nahi' Balkey Kisi K DiL Mein Jaga Bana Lena Mohabbat Ha"
Kisi Sey Rooz Mil K Baten Kerna Dosti Nahi'
Balkey Kisi Sy Bicher K Yaad Rakhna Dosti Hy..!
*Jab Ap Kisi Se Roth Kar Nafrat Se Bat Kro,or Wo UsKa Jawab mohobat se de tu Samjh Jana k Wo Aap Ko Khud Se Ziada Pyar Krta hai."
"Hatiyaron" se JANG to jeeti ja skhti hai Magr "DIL" nai..
Ukiyu Kay "DIL" sirf kirdar k sth Jeety Jaty hain..
*"Zindagi us k liye Mat guzaro jis k liye tum zinda ho,
Bal k zindagi us k liye guzaro jo tumhari waja se zinda hay".
*Hazaar Ghaltiyon Ke Bawjood Bhi Aap Apne Aap Se Pyaar Karte Ho
To Phir Q kisi ki ek Ghalti Pe Us Se Itni Nafrat karte Ho
*Achy Logon ki Aik Khoobi Ye B Hoti Hai k Unhain Yaad Rakhna Nahi Parrta, Wo Yaad Reh Jatay Hain..
*Us shakhs may har giz dil chaspi na lo jo tumse doorie Ehteyaar krta ho.
Maula Ali a.s
*Hr Uss Cheez Ko Torr Do Jis Ko Insan Ny Banaya Hay
LEKIN ,,
Insan Ka Dil Kabhi Mat Torna Jis Ko Khuda Ny Banaya Hay ,,
*Tum Kisi Ko Chaho Or Wo Tumhen Thukrade,
To Ye Us Ki Bad Nasibi Hai
Or Us k Bad Tum Usko Zabar Dasti Apnana Chaho To Ye Tumhari Nafs Ki Zillat Hai.
*Kisi Se Mohabbat Karnay Se Pehlay Apne Dil Main
Kabrastan Bana Lo,
Ta Ke
Us Ki Choti Choti Ghaltiyon Ko
Dafna Sakoho"
*"Ksi K Bura Keh Dene Say Naa Hum Buray Ho Jatay Hain
Naa Achay,
Apni Zaban Say Har Shakhs Apna Zarf Dikhata Hai Dosra Ka Aks Nahi"''...!
*Agar Tum kisi ko Chaho tu Us ko Dua se Hasil karo,
Agr Dua se Kam na bane to Samaj lo, k
Koi hai jo Tumhe Dua mei Mang raha hai"
*Mohabbat us se na karo jo duniya ki nazar main khubsoort ho balke us se karo jo tumari duniya ko khubsoort bana de.
*Koshish karo k zindagi ka har lamha apni tarf say har kise k sath achy say acha guzaro.,
Q K
Zindagi nai rehti par achi yaadain hamesha zinda rehti h...
.Agar Kisi Dost Ki Yaad Shidat Ikhtyar Kre Or Tum Kabhi Usy Bhula Na Pao To Ya Tera Kamal Nai Kamal Uska Hai Q K Oski Dosti Or Khalos Main Koi MILAwat Ni..'
*Zindagi main sab par aitbar karo magar,
Dil par nahi
kyu ki Dil Ka Aitbar Toot jaye toh
Insan jee Nahi Sakhta..
*Agar koi tumhe Nazarandaaz kare toh bura mat manna kyuki log aksar haisiyat se bahar mehngi cheez ko nazarandaaz kar dete hain
*"Jis dil me tumhari Muhabbat ki
Qadar na ho "
"Tumharey liye Behtar hai k tum
woh Muhabbat
chorh do...!
*Jisse haad se zyada mohabbat ho
Usse uthni hi nafrat ho sakhti hai
Kyunki jab sh**ha toota hai toh
Khatarnaak hatiyaar ban jata ha
* Aisey shakhs kO kabhi Mat Gaawana
Jis ke DiL Me Tumhare Liye Muhabbat, izzat aur Chahat Ho
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
*Zindagi Me Hamesha Apne Chahne Walo Ko Apni Kami Mehsus Karvao,
Magr Ye Duri Itni Lmbi Na Kro K Koi Aapke Bagair Jena
Sekh Le.
Kisi se itni"NAFRAT"na karo k kabhi MILNA pare to"MIL"na sako Or
Kisi se itni"MOHABBAT"na karo k kabhi"TANHA"jeena pare to"JEE"na sako
*Kisi Shaks Ko Itni Pyar Do K Koi Gunjaish Na Choro..
'Agr Wo Phr B Tumhara Na Ban Sakay Tuo Usay Chor Do...
'Kyun K Wo Mohabbat Ka Talabgar Hi Nae,
Wo Sirf Zarurt Ka Pujari Hai...
Muhabbat Krny Waley Ko Kisi Shay Ki Zarurat Nae Hoti...
'Aur Zaruratmand Ko Kisi Shay Sy Mohabbt Nahi Hoti....
*Us Insaan Se Mohabbat Karo Jiska Pehle Se DiLToota Ho
Kyun K Jiska DiL Toota Ho Wo Ksi Ka DiL Nahi Todta"
Agar tum use na pa sako jise tum chahte ho, to usay zaroor pa lena jo tumhe chahta hai kyun ki chahne seww. chaahe jane ka ehsas zyada khoobsurat hota hai...
"Zindgi me khud ko kabhi kisi insan ka aadi mat banana..
Q k insan bht khudgarz hai..
Jab apko pasand krta hai to apki Burai bhool jata hai,, aur
Jab Ap se nafrat karta hai to Apki Achaai bhul jata ha".
Hazrat Ali Ibn e Abu Talib asw..
Jis ko tum chaho
Us ko kabhi aazmana mat,
Qk agar wo bewafa nikla
To Dil tumhara hi tootay ga.!!
*Khoobsurti Ek Naimat Hai.
Lekin Sub Say Khoobsurat Aap Ki Zuban Hai, Chahy To Dil Jeet Ley Aur Chahy To Dil Tor Dey.
Hazrat ALI {A.S}
Ansoo K Hr Qatra Duniya Ki Har Cheez Say Ziyada Mehnga Hai. Lekin
Koi Es Ki Qimat Us Waqt Tak Nh Jaan Sakhta Jub Tak Wo Uski Apni Aankhon Say Na Niklay.!!!
Hazrat Ali (a.s)
Jab Tumhare Dil Me Kisi Ke Liye
Nafrat Paida Hone Lage
Toh
Fauran Uski Achchhaiyo Ko
Yaad Karne Lago.