Kaaf kitab

Kaaf kitab I create short motivational and social message stories that touch hearts and inspire positive change.

19/01/2026

Ek jawan jo jaldi ameer honay ka khwab dekh kar ghair qanooni rasta ikhtiyar karta hai, aur ek baap jo apni poori kamai qurban kar deta hai.
Yeh kahani hai us safar ki jo Europe nahi, qabaristan par khatam hota hai.
Ek dil hila dene wali, haqeeqat par mabni film jo sab ke liye sabaq hai.

16/01/2026

Ek chhoti si ghalat fehmi aur jaldbaazi ka faisla ek imandaar delivery boy ki izzat aur jazbaat ko gehra zakhm de deta hai. “Aitbaar Ki Qeemat” ek dardnaak kahani hai jo sikhati hai ke ghareebi kabhi chor honay ki daleel nahi hoti, aur shak insani rishton ko tod deta hai. Ye kahani aitbaar، pachtaway aur insani qeematon ka khoobsurat paighaam deti hai۔.

13/01/2026

Yeh kahani ek majboor baap ki hai jo apne bete ki zindagi bachane ke liye apni izzat bhool gaya۔
Har haath phelane wala bhikari nahi hota—kabhi wo sirf majboor hota hai۔

08/01/2026

Yeh kahani hai Amjad ki, jo ghurbat aur majboori ke bawajood Allah par poora yaqeen rakhta hai. Jab sab darwazay band ho jatay hain, tab Allah waseelay paida karta hai.
“Waseela – Rizq Ka Wada” aik dil ko chhoo lenay wali short film hai jo humein sikhati hai ke sacha tawakkul kabhi zaya nahi jata.
👉 Is emotional kahani ko poora dekhein aur yaqeen ko mazboot karein.

06/01/2026

Yeh kahani walidain ki qadr aur aik call ki ahmiyat yaad dilati hai.
Rishton ko block na karein، waqt bohat qeemti hota hai۔

04/01/2026

Yeh video imandari aur sabr par mabni ek dil ko choo lene wali kahani hai. Hamid ek ghareeb aur pareshan shakhs hai jo mushkil waqt mein bhi ghalat rasta ikhtiyar nahi karta. Allah par yaqeen aur imandari usay wahan pohancha deti hai jahan usay socha bhi nahi hota. Yeh kahani humein sikhati hai ke imandari ka inaam hamesha Allah deta hai.

02/01/2026

aik chhota sa pathar bari laaparwahi aur dardnaak hadsay ka sabab ban jata hai. Ye kahani batati hai ke chhoti si niki bhi zindagi bachا sakti hai، aur laaparwahi ka anjaam bohat bhaari hota hai۔

31/12/2025

Is short film mein dikhaya gaya hai ke kabhi kabhi zindagi ki rukawatein asal mein kisi mazloom ki dua ka jawab hoti hain. Allah jab kisi ko madad ka zariya banata hai to woh lamha zindagi badal deta hai. 💔➡️❤️

27/12/2025

Aik plate free chaat ne insaniyat ka asli chehra dikha diya.
Jahan aik ne zaleel kiya, wahan doosre ne dil jeet liya.
Kar bhala, ho bhala ❤️

26/12/2025

Yeh kahani Chaudhry Afzal aur ek Bhikari ki hai, jo humain sikhati hai ke har maangne wala bura nahi hota. Kabhi kabhi ek bhikari ke dil mein ameer se zyada hamdardi hoti hai. Yeh script bad-gumani ko khatam karne aur insaniyat ki qadar karne ka sabaq deti hai.

Address

Mussafah
Abu Dhabi

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Kaaf kitab posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share