23/10/2025
Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi ke dil ka qarar hoon,
Kisi kaam mein jo na aa sake, main woh ek musht-e-ghubaar hoon.
Na dawa-e-dard-e-jigar hoon main, na kisi ki meethi nazar hoon main,
Na idhar hoon main, na udhar hoon main, na shakeb hoon, na qarar hoon.
Mera waqt mujh se bichhad gaya, mera rang-roop bigad gaya,
Jo khizaan se baagh ujhad gaya, main usi ki fasl-e-bahaar hoon.