31/05/2026
Mannaekhelli se ek dil ko jhunjhod dene wali kahani samne aayi hai.
Aarop hai ki demolition karwai ke dauran ek garib dukandar ko lagbhag 15 lakh rupaye ka bhari nuksan hua tha.
Ghatna ko ek saal beet chuka hai, lekin aaj bhi dukandar apni zindagi mushkilon aur pareshaniyon ke beech guzarne par majboor hai.
Parivar ki rozi-roti par sankat mandra raha hai aur ab tak kisi bhi tarah ki madad ya rahat nahi milne ka aarop lagaya ja raha hai.
Sabse bada sawal ye hai ki aakhir is garib dukandar ki pukar kaun sunega?
Kya zimmedar adhikari is mamle par dhyan denge?
Ya phir ye parivar isi tarah sangharsh karta rahega?
Poora mamla jaanne ke liye video ko ant tak dekhiye aur apni rai comment me zarur batayein.
Media In Truth – Sach Ke Saath.