12/01/2026
Ramadan rehmat, aur barkaton ka mubarak mahina hai.
Is mahine Allah Ta’ala ne Qur’an nazil farmaya aur hum par roza farz kiya.
Roza sirf bhookh aur pyaas nahi, balki sabr, taqwa aur akhlaq ka imtihaan hai.
Ramadan humein: 🤲 Namaz aur dua ke qareeb karta hai
📖 Qur’an se jodta hai
💖 Gareebon aur zaruratmandon ka ehsaas sikhata hai
Is mahine ki ek raat Lailatul Qadr hazaar mahino se behtar hai.
Aaiye is Ramadan apni zindagi ko behtar banayein aur Allah ki raza hasil karein۔