03/12/2018
Meri Janeman, meri zindagi, meri tamanna, meri khushi…. Tumhein kis nam se pukarun, tumhein is tarah se awaaj doon? Meri samajh mein nahi aata. Mera ek din , ek rat, ek pal, subah-sham, aisa koi vaqt nahin hai jab main tumhare bare main na sochta hun. Tum ho kit um mujhe dekh kar bhi undekha kar deti ho.
Haan, aisanahin kit um mujhse baat nahin karti kabhi kabhi, lekin main to har vaqt tumse bat karna chahta hun. Tumhara hath har vaqt apne haathon mein thamna chahta hun. Zindagi mein kabhi bhi is hath ko na chhodane ke liye tumhara hath thamna chahta hun.
Bas, kami yahi hai ki main aaj tak tumhein apne dil ki bat nahin bataa paya. Bataoon bhi to kaise, yahi dar lagta hai ki agar tumne na kah diya to tumhein hamesha hamesha ke liye kho dunga. Abhi tum meri ho, main tumhare sath na sahi, aaspas to rahta hoon. Tumne mujhe apnaaya nahin hai to inkaar bhi to nahin hai na abhi tak. Isi khyaal ke sahaare mere din-raat kat rahe hain ki shayaad kisi din tum mera pyaar pahchano aur mere pas aakar kaho – maine tumhari aankhon mein pyaar ki daastaan padh li hai my love. Aur aaj se hamesha ke liye main tumhaari hoon.