14/02/2025
Sdpi Hospet Protest Against Waqf Amendment Changes... Details Here 👇👇
Waqf (Amendment) Bill 2024 India ki Parliament mein BJP Modi Government ney introduce kiya gaya hai aur bjp kehna hai Waqf properties ki behtareen management aur regulation ko ensure karna hai. Yeh bill ab Joint Parliamentary Committee (JPC) ke paas bheja gaya hai jahan is par mazeed gahrai se ghoor-o-fikr ho raha hai.
Aham Tareen Tabdiliyan:
1. Waqf Banane Ke Qawaid:
Sirf woh shakhs jo kam az kam 5 saal se Islam par amal kar raha ho aur jiski apni property ho, Waqf bana sakta hai.
Pehle “Waqf by user” ka concept tha, jisme koi zameen agar der tak religious purpose ke liye use hoti, to Waqf ban sakti thi. Is bill mein yeh concept khatam kar diya gaya hai.
Waqf banane ke baad bhi waris ka haq ensure kiya gaya hai, khas tor par aurton ke inheritance rights ka bhi khayal rakha gaya hai.
2. Waqf Properties Ki Survey Aur Registration:
*Ab Waqf properties ka survey Collector ya kisi mukarrar afsar ke zariye hoga, pehle yeh kaam Survey Commissioner karta tha.
*Ek centralized portal banaya jayega jisme Waqf properties ka record maintain hoga.
3. Waqf Board Aur Councils Ki Tashkeel:
*Pehle ke muqablay Waqf Boards aur Central Waqf Council ko zyada inclusive banane ka plan hai, jisme Muslim aurton aur ghair-Muslim afrad ki representation bhi hogi.
Bohra aur Agakhani communities ke liye alag Waqf Boards banane ka bhi iqdam kiya gaya hai.
4. Tribunal Reforms:
*Waqf Tribunals ka structure badal diya gaya hai, jisme 2 members honge.
*Tribunal ke faislay ke khilaf 90 din ke andar High Court mein appeal ki ja sakti hai.
5. [Qanooni_Tabdiliyan]
Limitation Act, 1963 ka itlaq Waqf cases par bhi hoga.
Evacuee Waqf properties se related provisions hata di gayi hain.
Ikhtilafat aur Tanqeedi Nuqta Nazar:
Hukumat ka kehna hai ke yeh bill transparency, accountability aur efficiency ko behtar karega, magar mukhalifeen ka kehna hai ke is se Waqf properties par Muslim control kam ho sakta hai. Oppositions ne is bill ke kuch clauses par reservations ka izhar kiya hai, aur kuch ne kaha hai ke JPC report mein dissenting notes ko shamil nahi kiya gaya.
Haliya Surat-e-Haal:
JPC ne 14 amendments ke sath is bill ko approve kar diya hai aur ab Parliament mein is par behas aur vote hone ki umeed hai. Agar yeh pass ho gaya to Waqf properties ka naya nizaam lagu ho sakta hai.