01/06/2026
Aaj Hyderabad ki Muslim qaum ki taraqqi mein Anwar-ul-Uloom Educational Association, Madrasa-e-Aiza, Sultan-ul-Uloom Education Society aur dusre taleemi idaron ka bahut bada kirdar raha hai. In idaron ne hazaron nahi balki naslon ko taleem de kar doctors, engineers, professors, businessmen aur professionals banaya jo aaj duniya ke mukhtalif mulkon mein apna aur apni qaum ka naam roshan kar rahe hain.
Aaj Toli Chowki, Mehdipatnam aur Hyderabad ke kai ilaqon mein jo kamyab khandan nazar aate hain, un ke peeche taleem ki woh roshni hai jo in idaron ne phailayi. In idaron se taleem hasil karne wale beshumar talaba aaj Europe, America, Gulf aur duniya ke dusre mulkon mein achchi position par hain aur apne khandanon ki zindagi behtar banayi hai.
Nawab Shah Alam Khan, Mehboob Alam aur un ke khandan ki taleem ke maidan mein khidmaat ko faramosh nahi kiya ja sakta. Allah Ta'ala ne un ke zariye qaum ko taleem ki jo ne'mat di, us ka faida aaj hazaron gharane utha rahe hain.
Taleemi idare chalana aasan kaam nahi hai. buildings ke kharchay, maintenance aur dusri zarooriyat ke liye maali wasail darkar hote hain. Sirf tanqeed karna aasan hai, lekin ek school ya college ko qaim kar ke usay kamyabi se chalana bahut badi zimmedari hai. Jo log aaj tanqeed karte hain, unhein bhi taleem ki ahmiyat aur idare chalane ki mushkilat ko samajhna chahiye.
Allah Ta'ala tamam taleemi khidmat anjaam dene walon ko jazaye khair ata farmaye aur hamari qaum ko mazeed taleem, taraqqi aur kamyabi naseeb farmaye. Aameen.Afsos ki baat yeh hai ke kuch log Hyderabad ke in taleemi idaron se taleem hasil karke aaj achchi position par pahunch gaye, lekin madad aur chandah Bihar aur U.P. ke madaris ko bhejte hain, jo un ka haq hai aur nek kaam bhi hai. Lekin saath hi Hyderabad ke un idaron par tanqeed karte hain jinhon ne unhein taleem aur taraqqi ka raasta dikhaya. Har shakhs ko insaf se kaam lena chahiye. Jahan dusre madaris aur idaron ki madad karna sawab hai, wahin apne shehar aur un idaron ki khidmat ko bhi yaad rakhna chahiye jinhon ne unki zindagi sanwarne mein aham kirdar ada kiya. Tanqeed se pehle insaan ko apne gireban mein jhaankna chahiye aur dekhna chahiye ke aaj woh jis maqam par hai, us mein kin logon aur kin idaron ka kitna hissa hai.