05/09/2026
Yakutpura mein development ke kaamon ko sirf manzoori hi nahi di ja rahi, balki unki ground level par monitoring bhi ki ja rahi hai, taake kaam jaldi mukammal ho.
AIMIM Yakutpura MLA Jaffar Hussain Meraj Sahab ne Mohammedia Masjid aur Bakery Lane, Jahangeer Nagar ke qareeb 3 naye road works ka muaina kiya, jo taqreeban ₹36 lakh ki lagat se mukammal kiye gaye hain.
Aaj subah GHMC Zonal Commissioner ke saath Dabeerpura Darwaza, Yakutpura Bada Bazar aur Rein Bazar ka bhi jaiza liya gaya. In areas mein beautification aur civic improvement ke kaamon par bhi tawajjo di ja rahi hai.
Iske alawa Shah Jahan Function Hall ke qareeb garbage point ko modernise karne ke liye electrical garbage lift lagane ka plan bhi hai, Insha Allah.
Behtar roads, saaf surroundings aur tez civic works — ek behtar Yakutpura ki taraf qadam. 🏗️✨