Verma_dairies

Verma_dairies romantic destinations
peaceful nature
amazing resort
travel videography

Nobody knows the real meNobody knows how many times I've sat in my room and criedhow many times I've lost hopehow many t...
01/04/2024

Nobody knows the real me

Nobody knows how many times I've sat in my room and cried

how many times I've lost hope

how many times I've been let down

Nobody knows how many times I've had to hold back to tears

how many times I've felt like I'm about to snap

but don't just for the sake of others

Nobody knows the thoughts

that have gone through my head whenever I'm sad

and how horrible they really are

Jab main chhota tha shayad shaamein bahut lambi hua karti thi,Main hath mein patang ki dor liye ghanton uda karta tha,Wo...
01/04/2024

Jab main chhota tha shayad shaamein bahut lambi hua karti thi,

Main hath mein patang ki dor liye ghanton uda karta tha,

Wo lambi cycle race, vo bachpan ke khel,

Vo har shaam thak kar choor ho jana,

Ab shaam nahi hoti, Din dhalta hai aur sidhe raat ho jati hai,

Shayad waqt simat raha hai,

Jab main chhota tha shayad dosti bahut gahri hua karti thi,

Din bhar vo hujoom banakar khelna,

Vo doston ke ghar ka khana,

Vo ladkiyon ki baatein, vo saath mein rona,

Ab bhi kai dost hain par dosti jane kahan hai,

Jab bhi traffic signal par milte hain, Hi ho jati hai,

Aur apne apne raaste chal dete hain,

Holi, Diwali, new year par bas sms aa jate hain,

Shayad ab rishte badal rahe hain,

jab main chhota tha khel bhi ajeeb hua karte the,

Chhupan chhupai, langdi tang, tippi tippi top ,

Aur ab internet , office se fursat hi nahi milti,

Shayad zindagi badal rahi hai,

Zindagi ka sabse bada sach yahi hai,

Jo aksar kabristan ke baahar board par likha hota hai,

Manjil to yahi thi bus zindagi guzar gayi meri yahan aate aate,

Zindagi ka lamha bahut chhota sa hai,

Kal ki koi bunyad nahai hai aur aane wala kal sirf sapne mein hai,

Ab bach gaye is pal mein,

Tamannaon se bhari is zindagi mein hum sirf bhaag rahe hain

Kuch raftar dheeme karo mere dost,

Aur is zinadagi ko jiyo, khub jiyo mere dost.

Nikal pada mein apne ghar se, Chalta hua us dagar mein, Na jaane woh raah le jaaye kahaan, Phir bhi mein ja raha hoon is...
01/04/2024

Nikal pada mein apne ghar se,
Chalta hua us dagar mein,
Na jaane woh raah le jaaye kahaan,
Phir bhi mein ja raha hoon is pal wahaan...

Pahuncha mein ek pahaadi ke tal mein,
Dekhi uski oonchi phunch aasman mein,
Chadne chala mein bina kuch soche,
Na jaane mera anjaam kya hoga...

Kaante lage mere pairon mein,
Kankad lage meri ungliyon mein,
Phir bhi mein chalta gaya us raste,
Na jaane kya karne chala...

Thak gaya yeh shareer mera,
Pairon ne the saath c***e,
Phir bhi mein bas chalta gaya, Us oonchayi par aankh rakhe...

Tanda hua mausam achanak,
Baraf se ladha tha pahaad aage,
Lage mere pairon mein woh barf ki talwaar,
Dard utha mere j**m mein,
Jisse maut bhi shayad darr jaaye...

Par chalta chala mein,
Us raste ki aur,
Jo mujhe shayad le jaaye,
Manzil par...

Aur jaate jaate,
Pahuncha mein,
Jo laga mujhe mera manzil hain,
Charo taraf khula aasmaan tha,
Aur mein tha khada dharti ke upar...

Pahunch gaya mein us jagah,
Jo duniya ki oonchayi par hain,
Dekh sakta tha mein saari dharthi,
Jo faila tha mere aankhon ke aage...

Phir maine socha,
Mein kyun aaya idhar,
Itne dard sahe,
Phir mujhe yaad aayi ek hi baat,
Woh tumhare pyar tale...

Aaya tha mein itna door,
Bas ek kaam ke liye,
Chillaya mein zor se wahan,
Jo duniya ko sunayi de...

Liya maine tumhara naam,
Izhaar kiya mera pyaar,
Kaho tum sanam agar yeh kam hain,
To jaaun mein chaand par bhi aaj..

¶¶¶ –

barsaat ki bheegi raaton mephir koi kahani yaad aayikuch apna zamana yaad aayakuch unki jawani yaad aayiIkraar kiya tha ...
01/04/2024

barsaat ki bheegi raaton me

phir koi kahani yaad aayi

kuch apna zamana yaad aaya

kuch unki jawani yaad aayi

Ikraar kiya tha tumne bhi ki

Tumhain mujhse mohabbat hai

Lo baithe Baithe aaj hume

wo baat purani yaad aayi

Hum Bhool Chuke the kisi ne hume

Dunia main akela Chod Diya tha

Jab Gaur kiya to ek surat

Jani phechani Yaad aayi

Kuch paao k Chale Kuch aansu

Kuch sapne aur Kuch Tanhai

Us Bichde hue Humrahi ki

Har ek Nishani Yaad aayi

Tum Mosam Mosam Lagte Ho,Jo Pal Pal Rang Badalte HoTum Sawan Sawan Lagte HoJo Sadion Baad Baraste Ho,Tum Sapna Sapna Lag...
01/04/2024

Tum Mosam Mosam Lagte Ho,

Jo Pal Pal Rang Badalte Ho

Tum Sawan Sawan Lagte Ho

Jo Sadion Baad Baraste Ho,

Tum Sapna Sapna Lagte Ho,

Jo Mujh Ko Kam Kam Takte Ho,

Tum Pal Pal Mujh Se Larte Ho,

Par Phir Bhi Ache Lagte Ho,

Baat To Hai Sharmili Si,

Par Kehne Ko Dil karta Hai,

Lo Aaj Tumhain Ye kehte Hain,

Tum Apne Apne Lagte Ho…

Wo Ladki Shayad Pagli Thi Din Raat hi Gumsum Rheti ThiKuch Sharm -o-Haya ka Pikar Thi Kuch Narm Mizaz Rakhti thiAankhon ...
01/04/2024

Wo Ladki Shayad Pagli Thi Din Raat hi Gumsum Rheti Thi

Kuch Sharm -o-Haya ka Pikar Thi Kuch Narm Mizaz Rakhti thi

Aankhon Main Neem Nasha sa Tha Baton Se Diwani Lagti Thi

Humraaz Na Tha Uska Koi Bus Khud se bate karti thi

Ek Shaam K Anchal main Aksar Jazbaat Chupaye Rakhti Thi

Darti thi Juda Hone Se Ya Pyar se Shyad Darti Thi

Kya Sabr Tha Us Deewani Ka Kya Zazbaat E mohabbat Rakhti Thi

hai Rask Mujhe Us Pagli Par

Kya Khoob Mohabbat karti thi

Kya Khoob Mohabbat karti thi

Wo samne aaye to nazro ko jhuka lungadekhunga nhi pr fir b tasweer bna lungaaana hai to aa jao ruswai nhi hogi dekhega n...
01/04/2024

Wo samne aaye to nazro ko jhuka lunga

dekhunga nhi pr fir b tasweer bna lunga

aana hai to aa jao ruswai nhi hogi

dekhega nhi koi tujhe palko m chupa lunga

jo hum per guzarni h ek bar guzar jaye

hr gum ki tarha tujhko seene se lga lunga

weeran ager dil ho aanko main andhera ho

yadon k diye apni aankho m saja lunga

naraj ager ho mere nasheman se

main apne nasheman k tinko ko hata lunga

kyu mujse khafa hokar wo door jaa rhe hain

baahon main aa jaye main unko mana lunga

Tere Bare Main Sochna Sochna Bhi Raat DinPhir Bhi Mujhko Yun lage Maine Socha Kyun NahiWo acha Hai Ya Hai Bura Mujhko Is...
01/04/2024

Tere Bare Main Sochna Sochna Bhi Raat Din

Phir Bhi Mujhko Yun lage Maine Socha Kyun Nahi

Wo acha Hai Ya Hai Bura Mujhko Isse Kya Garaj

Maine Usko Dil Diya Aur Socha Kuch Nahi

Raat Raat Ko jagna aur uth k tumko Dhoondna

Fir Bhi mujhko yun lage maine khoya kuch nahi

Tumne Mujhko Sab Diya Aur Manga Kuch Nahi

Phir Bhi mujhko Yun lage Maine paya Kuch Nahi

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maineteri ek tasveer thi jo tujhse chupa li mainejis pe likha tha ki tu meri muq...
01/04/2024

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine

teri ek tasveer thi jo tujhse chupa li maine

jis pe likha tha ki tu meri muqaddar mein nahi

apne maathe ki woh tehreer mita li maine

har janam sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai

teri chaahat mein to umer bita li maine

mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein

waqt ke haathon se ek nazm utha li maine

gheerey rehti hai mujhe ek anokhi khushbu

teri yaadon se har ek saans saja li maine

jiske sheron ko sunkey wo bahut roya tha

bas wohi ek ghazal sabsey chupa li maine

Wo pyar ka saboot dikhaya karta thaaansu baha k hume manaya karta thaye zindgi sirf tujhse wabista haiAksar ye baat hume...
01/04/2024

Wo pyar ka saboot dikhaya karta tha

aansu baha k hume manaya karta tha

ye zindgi sirf tujhse wabista hai

Aksar ye baat hume bataya karta tha

Uski bato main Kuch Aesa asar tha

main Barish k bina hi bheeg jaya karta tha

Sone ki fursat kise thi

Wo to Hume sari raat jagaya karta tha

Bechani Jab had se Bhad Jaya karti thi

Wo Ji Bhar k gale lagaya karta tha

wo itni mohabbat karne wala badal agaya

Jo har baat pe hamari kasam khaya karta tha

Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa HoMujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa HoJo Khwaab Dene Ko Kadir Ho Meri Aankhon KoMe...
01/04/2024

Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho

Jo Khwaab Dene Ko Kadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho

Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhee Rakhta Ho
Koi Bhee Ho Kahi Bhee Ho Bas Aisa Ho

Agar Kabhi Ruth Jaun Mein Usse To
Muskrake Manaye Woh Aisa Ho

Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhee Sake
Iradon Mein Woh Apne Chattanon Jaisa Ho

Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho

Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chaand Jaisa Ho

Woh Sirf Mera Ho Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale Buss Humsafar Mera Aisa Ho

Address

34/217 Sector 3 Pratap Nagar
Jaipur
302029

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Verma_dairies posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share