Siraj Razvi

Siraj Razvi Maslak e alahazrat zinda baad

14/05/2025

Jitne Musalmano ko Pakistani Dahshatgard ne maare hai utna kisi ne nahi maara. Kya ye baat Aap jante the?

27/04/2025

Islam Aur Atankwad

Islam ki sahi maloomat na hone ki wajah se kuch log Islam ko atankwad se jod dete hain. Media aur kuch gumrah firqay Islam ke paigham-e-aman ko tod-mor kar duniya ke samne aise pesh karte hain jaise Islam sirf talwar aur khoon ka deen ho.
Magar asal Islam — jo Qur’an aur Sunnat ke zariye hume mila — woh to aman, insaniyat, insaaf aur rehmat ka paigham hai.

Islam Ka Paigham-e-Aman
القرآن:
لَا إِكْرَاهَ فِي الدِّينِ ۙ
(Surah Al-Baqarah, 256)

Tarjuma (Kanzul Imaan):
Deen mein koi zabardasti nahi.

Tafseer:
Sochne ki baat hai, jab Qur’an khud keh raha hai ki Deen mein koi majboori nahi, to bewajah kisi ka khoon bahana sirf aur sirf shaitani soch hai. Islam to bewajah paani bahaane se bhi rokta hai!

القرآن:
وَمَا أَرْسَلْنَاكَ إِلَّا رَحْمَةً لِّلْعَالَمِينَ
(Surah Al-Anbiya, 107)

Tarjuma (Kanzul Imaan):
Aur (Aey Habeeb!) Hum ne aap ko tamaam jahaan walon ke liye rehmat banakar bheja.

Tafseer:
Rasool-e-Akram (Sallallahu alaihi wa alihi wa as'habihi wa sallam) ko sirf musalmaanon ke liye nahi, sirf insaanon ke liye nahi, sirf is duniya ke liye nahi, balke poore jahaan ke liye rehmat banakar bheja gaya. SubhanAllah!

Ahle Sunnat Ka Aqeedah – Mohabbat Aur I'tedaal
Ahle Sunnat wal Jama'at ka tariqa tasawwuf aur mohabbat se bhara hua hai. Hamare buzurgon ka silsila dil jeetne ka hai.

Hazrat Ghaus-e-Azam, Khwaja Ghareeb Nawaz, Imam Ahmad Raza Khan (rahmatullah alaih) jaise buzurgon ne kabhi kisi par zulm nahi kiya. Balki unke zariye log Islam se mohabbat karne lage.

Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi (Rahmatullah alaih) farmate hain:
"Deen ki dawat mohabbat se do, nafrat se nahi."

Wahabi-Deobandi Firqe – Fitna Aur Nafrat Ka Zeher
1. Takfeer Ka Fitna
Wahabi-Deobandi firqe dosre musalmaan firqon par kafir hone ka fatwa lagate hain.
Imam Ahmad Raza Khan ne apni mashhoor kitaab "Hussam-ul-Haramain" mein inki gumraahi ko be-naqaab kiya hai.

2. Awliya Aur Sufi Dushmani
Ye log mazarat, Urs, Milad, Fateha, Niyaz aur Tawassul jaise pyare amal ko shirk kehte hain aur rokte hain.

3. Atankwadi Tanaazur
ISIS, Al-Qaeda, Taliban jaise groups isi wahabi soch se paida hue hain.
Ye Islam ke asal paigham ko bigaad kar duniya ke samne ghalat tasveer pesh karte hain.
Inka deen Islam nahi, balki fitna aur zulm ka deen hai.

Naseehat:
Agar kisi ko shak ho, to Qur'an aur Sunnat ko sahih tareeke se samjhe, phir sab kuch khud saaf ho jayega.

Islam Aur Atankwad Mein Farq
Islam (Ahle Sunnat):
Aman aur Mohabbat
Sunnat aur Sufiyana Rukh
Haq, Rehmat, Insaaf
Dilon ko jeetna

Atankwad (Wahabi-Deobandi):
Nafrat aur Takfeer
Buzurg Dushmani
Zulm, Fitna, Qatl-o-Garat nni
Sir kaatna
Begunah Ko Qatl Karna – Qur’an Ka Faisla
القرآن:
مَنْ قَتَلَ نَفْسًاۢ بِغَيْرِ نَفْسٍ أَوْ فَسَادٍۢ فِى ٱلْأَرْضِ فَكَأَنَّمَا قَتَلَ ٱلنَّاسَ جَمِيعًۭا ۚ
(Surah Al-Ma'idah, 5:32)

Tarjuma (Kanzul Imaan):
"Jo kisi insan ko (bila wajah) qatl kare to goya usne tamaam insaanon ko qatl kiya."

Tafseer:
Islam me begunah ki jaan lena poori insaniyat ka qatl karne ke barabar hai.

Ek Jaan Bachana – Islam Ki Nazar Mein
القرآن:
وَمَنْ أَحْيَاهَا فَكَأَنَّمَآ أَحْيَا ٱلنَّاسَ جَمِيعًۭا
(Surah Al-Ma'idah, 5:32)

Tarjuma (Kanzul Imaan):
"Aur jo kisi ki jaan bachaye to goya usne tamaam insaanon ko zinda kiya."

Nateeja
Begunah ka qatl – Islam mein haram aur kabira gunaah hai.
Ek jaan bachana – Allah ke nazdeek azeem naiki hai.
Aakhri Baat
Islam ka paigham rehmat hai, atank nahi.
Ahle Sunnat hi asal Islam ka sahi rukh hai jo Qur’an, Sunnat, Sahaba aur Awliya ki roshni mein hai.
Hume chahiye ke hum asal Islam ka paigham logon tak pohnchayein aur gumrah firqon se door rahein.

Kisi bhi sazish ka hissa na bane:

Naam puchh kar qatl karna,
Naam puchh kar fitna-fasaad phailana,
Bina wajah khoon bahaana,
Yeh sab Islam mein sakht mana hai!
Mere nazdeek:

Wahabi-Deobandi bhi atankwadi soch rakhte hain,
BJP-RSS bhi atank aur nafrat ka zariya hain.
Ye sab milkar desh ka mahaul kharab karte hain aur jahalat aur nafrat ki taraf dhakel dete hain.
Logo ko chahiye ke in fitno se door rahein aur aman wa shanti ka paigham phelayein.

20/04/2025

Khutba-e-Jumma Ka Adab Aur Sunnat Namazon Ka Hukm
Jab Khutba shuru ho jaye, to kya sunnat namaz padhi ja sakti hai?
Jawab: Nahi. Jab Arabic khutba shuru ho jaye, to us waqt sunnat ya nafl namaz padhna makrooh-e-tahreemi hai. Khutba, Jumma ki namaz ka hissa hai, isliye us waqt sirf khamoshi se khutba sunna farz hai.

Qur'an ka hukum:
"Wa iza quri-al Qur’anu fastami‘oo lahoo wa ansitoo la‘allakum turhamoon."
(Surah A'raaf, Ayat 204)
"Aur jab Qur’an padha jaye to usko ghoro se suno aur chup raho, taake tum par reham kiya jaye."
(Tarjuma: Kanzul Iman)

Yeh aayat jumla Quran ke liye hai, lekin is se fuqaha ne yeh bhi samjha ke khutba ke waqt bhi sunn-na aur khamosh rehna wajib hai.

Hadees Shareef:
Rasoolullah (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:
"Jisne Jumma ke din khutba ke dauraan apne saathi se 'chup raho' kaha, usne bhi laghuw (bekaar baat) ki."
(Sahih Muslim: Hadith 857)

Agar kisi ko "chup raho" kehna bhi guneh hai, to sochiye us waqt baat karna, ya sunnat padhna kaisa amal hoga?

Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (rahmatullah alaih) farmate hain:
"Jab khatib minbar par baith jaye aur azaan shuru ho, to us waqt se le kar khutba khatam hone tak bolna, salaam karna, jawab dena, tasbeeh padna, hatta ke sunnat ya nafl padhna bhi makrooh-e-tahreemi hai. Us waqt sirf khutba sunna farz hai."
(Fatawa Razaviyya, Jild 8, Safha 320)

Khutba sunne ka tarika kya hai?
Jab Arabic khutba shuru ho jaaye to Tashahhud ki tarah baith jayein, dono haath raanon par, aur khamoshi se sunna shuru kar dein.
Jab Imam sahab "Innallaha wa malaikatahu..." padhein, to dil hi dil mein Durood Shareef padhein, zubaan se nahi.
Dono khutbon ke darmiyan, jab Imam sahab thodi der ke liye baithte hain, us waqt dua maqbool hoti hai, to chupke se dil hi dil mein dua karein.
Urdu Bayan aur Arabic Khutba ka farq samajhna zaroori hai:
Urdu me jo bayan hota hai, wo khutba nahi hota, balki waaz aur naseehat hoti hai.
Aksar masajid me Urdu bayan ke baad waqt diya jata hai sunnat padhne ke liye, us waqt sunnat padh sakte hain.
Magar jaise hi Arabic khutba shuru ho, us waqt na sunnat padhein, na tasbeeh, na salaam, sirf khutba sunain.
Behtareen Amal:
Jumma ki namaz ke liye waqt se pehle masjid pahunch jaayein.
Pehle chaar sunnat-e-muakkadah ada kar lein.
Phir sukoon ke saath Urdu bayan sunein.
Jaise hi Arabic khutba shuru ho, tashahhud ki soorat me baith jaayein aur khamoshi ikhtiyar karein.
Yeh adab aur ihtiyaat humare Jumma ke namaz ko maqbool banate hain. Khutba ko sirf ek formal stage ka hissa na samjhein, balke usse deen ki rooh aur Jumma ke fard ka ahem hissa samjhein.

15/04/2025

"Insan Ka Maqsad Kya Hai? — Allah Ka Farman, Insaan Ka Farz"

(Qur’an, Hadees aur Aaj ki Zindagi ke Tanazur mein)

Sawal:
Allah ne insaan ko kyun banaya?
Allah ne insaan se kya karne ko kaha?
Allah ne kaunse kaam apne zimme liye?
Aur insaan ke zimme kya kaam diye?
Aakhir humse sabse badi ghalti kya ho rahi hai?
1. Allah ne Insaan ko Kyun Banaya?
Qur’an mein Allah farmata hai:

"وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنسَ إِلَّا لِيَعْبُدُونِ"
"Maine jinn aur insaan ko sirf is liye paida kiya ke woh meri ibaadat karein."
(Surah Az-Zariyat, 51:56)

Yani:

Maqsad sirf duniya ka kaam karna nahi,
Sirf paisa kamaana nahi,
Sirf khana peena, shaadi aur aulaad nahi,
Balki asal maqsad hai: Apne Rab ko pehchanna, uski ibaadat karna, uska hukum maanna.
2. Allah ne Insaan se Kya Karne Ko Kaha?
Sirf usi ki ibaadat karo
Halal kamao, halal khao
Amanat daar bano, sach bolo, zulm na karo
Akhlaq mein behtareen bano
Apne maa-baap ke farzand bano, unki khidmat karo
Namaz, roza, zakat aur Hajj jaise farz ada karo
Aur sabse badhkar: Apni zindagi ko Allah ke hukum ke mutabiq guzaro
3. Allah ne Kaunse Kaam Apne Zimme Rakhe?
Qur’an se saboot:

Rizq dena:
"إِنَّ اللَّهَ هُوَ الرَّزَّاقُ"
"Beshak Allah hi rizq dene wala hai."
(Surah Az-Zariyat, 51:58)

Maut aur zindagi dena:
"اللَّهُ يَتَوَفَّى الْأَنفُسَ حِينَ مَوْتِهَا"
"Allah hi jaan nikaalta hai jab maut ka waqt aata hai."
(Surah Az-Zumar, 39:42)

Aulad dena:
"لِلَّهِ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَاءُ ۚ يَهَبُ لِمَن يَشَاءُ إِنَاثًا وَيَهَبُ لِمَن يَشَاءُ الذُّكُورَ"
"Woh jise chahta hai betiyan deta hai, aur jise chahta hai bete."
(Surah Shura, 42:49)

Nateeja dena:
"وَاللَّهُ خَيْرُ الرَّازِقِينَ"
"Allah sabse behtareen rizq dene wala hai."
(Surah Jumu'ah, 62:11)

4. Insaan ke Zimme Kya Kaam Diye Gaye?
Mehnat karna
Halal raasta chunna
Imaan lana
Sabr aur shukar karna
Dua karna
Tawakkul karna
5. Hum Sabse Badi Galti Kya Karte Hain?
Hum Allah ke kaam mein dakhal dete hain:

Rizq ke liye haram raste chunte hain
Aulaad ki fikr mein bechain rehte hain
Nateeja apne haathon mein samajhte hain
Maut se bhagte hain, lekin gunaahon mein uljhe rehte hain
Apna asli kaam — Ibaadat, tawakkul, sachchai, shukr — sab bhool jaate hain.

Yeh sabse badi ghalti hai:
"Allah ka kaam hum karne lagte hain, aur apna kaam bhool jaate hain."

"Tension isliye hoti hai kyunki hum Allah ke kaam ko bhi apna samajh lete hain."
"Tawakkul se sukoon milta hai, shikayat se bechaini."
"Apne kaam mein lag jao, Allah apne kaam mein masroof hai."

Aaj se faisla karo —
Main Allah ka banda hoon, uska kaam us par chhodta hoon.
Main sirf wahi karunga jo Allah ne mujhse chaha — Imaan, ibaadat, akhlaq, aur sabr.

Zindagi khud behtar ho jaayegi.

Dua:
"Ya Allah! Humein apne maqsad ko samajhne ki tofeeq de.
Humein apna kaam karne ki himmat de,
Aur apna kaam Tere hawale karne ka yaqeen de.
Humein aise jeena sikha jaise Tujhe raazi kar sakein."

Durood Shareef padhiye

Sallallahu alaihi wa Alihi wa As'habihi wa sallam

13/04/2025

Illuminati Kya hai Aaj ke daur mein “Illuminati” ka lafz Aap kahin na kahin sune honge. Log kehte hain ke ye ek secret society hai jo duniya par chhupi hui hukoomat karti hai — siyasat, media, aur entertainment industry tak. Magar Aaj hum Isko Thoda details me janenge

Historical Background: Illuminati Ki Haqeeqat
1776 mein Adam Weishaupt ne Bavaria (Germany) mein ek group banaya jiska naam tha "The Order of Illuminati". Inka da’wa tha ke woh secularism, reason aur freedom ko promote karte hain. 1785 mein is group par ban lag gaya, magar aaj bhi yeh secretly kaam kar raha hai.

Qur’an Ki Roshni Mein Batinī Fitne
Shayateen Ka Ittehaad
"Aur humne har Nabi ke dushman insano aur jinnon ke shayateen banaye..."
(Surah Al-An’am: 112)

Ye aayat is baat ka saboot hai ke fitne hamesha chhupi hui taqaton ke zariye phailte hain. Illuminati ko bhi aisi hi ek taqat samjha jata hai jo duniya mein gumrahi aur shirk phaila rahi hai.

Aakhir Zamana Aur Dajjal Ka Nizaam
Dajjal Ki Aamad Ka Pehla Marhala
Rasoolullah ﷺ ne Irshaad farmaya:

"Dajjal ke saath jannat aur dozakh hongi. Lekin uski jannat asal mein dozakh hogi."
(Sahih Muslim)

Illuminati ka "One Eye" symbol log Dajjal se jodte hain. Dajjal ka zahoor akhir zamana mein hoga, magar uska nizaam us se pehle tayar hoga — entertainment industry, secular education, aur fahashi ke zariye.

Alahazrat Ka Nazariya – Fitnon Ka Muqabla
Fitna Par Alahazrat Ki Baseerat
"Aise firqe uthenge jo deen ka roop dikhakar duniya chahenge. Shaytan unhein sajawat ka libaaz pehnakar gumrah karega."
(Fatawa Razawiyya, Jild 21)

Alahazrat ne is tarah ke chhupay fitno se bachne ki hamesha hidayat di hai. Aaj ka Dajjali nizaam bhi aise hi dajjali logon ke zariye gumrahi phela raha hai.

Modern Times: Illuminati Aur Entertainment Fitna
Naye Fitne – Purane Chale
Illuminati se mutaliq kuch theories ye hain:

Celebrities ka mashhoor hona hidden contracts ke zariye
Secret handshakes, eye symbols, aur occult rituals
Music aur film ke zariye fahashi, shirk aur rebellion ka promote hona
Yeh sab Qur’an aur Hadith ke hawale se ek Dajjali system ka hissa lagta hai — jo zahir nahi, magar asar mein buhat gehra hai.

Ahl-e-Sunnat Ka Rukh – Hidayat Ka Rasta
1. Ilm Aur Taqwa
"Fitnon ke daur mein apni zaban roko, apna ghar pakdo aur deen par sabr karo."
(Abu Dawood)

2. Aulad Ki Deeni Tarbiyat
Bachon ko secular media ke fitno se bachana aur unhein Qur’an, Hadith aur Ahl-e-Sunnat ke aqeede se roshan karna zaroori hai.

3. Fahashi Aur Gunah Se Parhez
Entertainment aur fahashi aaj ke fitne ka bara zariya hai. Gharon mein TV, music, aur haram content ka rasta band karna chahiye.

Dua: Fitno Se Hifazat Ki Talab
"Yaa Allah! Humein har zahiri aur batini fitne, har chhupi hui taqat, aur Dajjal ke nizaam se mehfooz farma."
Ameen, ya Rabbal Aalameen.

Conclusion: Fitna Pehchano, Imaan Bachao Aur Haq Ko Apnao
Illuminati naam ho ya koi aur — har fitna jo haqq se door le jaye, us se ho-shiyar rehna zaroori hai. Ahl-e-Sunnat wal Jama’at ka rukh hamesha haqq aur daleel par raha hai. Humein chahiye ke is Dajjali nizaam ko samjhein, us se bachein, aur apni zindagi Qur’an-o-Sunnat ke mutabiq guzaarein.

Tags:

12/04/2025

"Jo Kaam Allah Ka Hai, Uske Liye Banda Kyun Pareshan Hai?"
Dil Se Ek Sawal:
"Kya kabhi tumne koi parinda dekha hai jo subah ghar se nikalte waqt sochta ho — aaj khana milega ya nahi?"
Nahi na?
Kyun?
Kyuki uska yaqeen Allah par hai.
Toh fir insaan — jo Ashraful Makhluqat hai — woh har waqt tension mein kyun rehta hai?

Sawal Uthta Hai:
Kya rizq mere haath mein hai?
Kya zindagi aur maut ka waqt main tay karta hoon?
Kya shadi, aulaad aur unka paalan-poshan mera kaam hai?
Agar nahi…
Toh main in sab cheezon ke liye tension kyun leta hoon. Main in chizo ke liye pareshan kyu hota hun?
1. Rizq ka Zimma Allah ka Hai
Qur’an farmata hai:

"وَمَا مِن دَابَّةٍ فِي الْأَرْضِ إِلَّا عَلَى اللَّهِ رِزْقُهَا"
"Zameen par chalne wali har cheez ka rizq Allah ke zimma hai."
(Surah Hud, 11:6)

Hadees Shareef:
"Agar tum Allah par waise hi bharosa karo jaise karne ka haq hai, toh woh tumhein waise hi rizq dega jaise woh parindon ko deta hai — subah bhookhe nikalte hain aur shaam ko pet bhar ke lautte hain."
(Musnad Ahmad)

2. Zindagi aur Maut ka Faisla Allah ka Hai
"كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ"
"Har jaan ko maut ka maza chakhna hai."
(Surah Aal-e-Imran, 3:185)

"وَمَا كَانَ لِنَفْسٍ أَن تَمُوتَ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ كِتَابًا مُّؤَجَّلًا"
"Kisi jaan ka marna mumkin nahi, magar Allah ke hukm se — ek likhi hui muddat ke mutabiq."
(Surah Aal-e-Imran, 3:145)

3. Khushi aur Gham dono Allah ke Qudrat mein hain
"وَأَنَّهُ هُوَ أَضْحَكَ وَأَبْكَىٰ"
"Aur wahi (Allah) hai jo hansata hai aur rulata hai."
(Surah Najm, 53:43)

4. Shadi, Aulaad aur Unka Paalan-poshan bhi Allah ke Hukm se
"يَهَبُ لِمَن يَشَاءُ إِنَاثًا وَيَهَبُ لِمَن يَشَاءُ الذُّكُورَ"
"Woh jise chahta hai betiyan deta hai, aur jise chahta hai bete."
(Surah Shura, 42:49)

"نَحْنُ نَرْزُقُهُمْ وَإِيَّاكُم"
"Hum unhein bhi rizq dete hain aur tumhein bhi."
(Surah Al-Isra, 17:31)

Real-Life Misal:
Ek mazdoor subah apne haathon mein belcha le kar nikalta hai. Na guarantee hoti hai rozi ki, na raahat ki.
Lekin uske chehre par sukoon hota hai, kyun?
Kyuki uska yaqeen hota hai: 'Rizq dena mera kaam nahi, Allah ka hai.'

Ek maa apne bache ko duaon mein Allah ke hawale karti hai.
Kya paalan-poshan uske bas mein hota hai? Nahi.
Uska sirf yaqeen hota hai: ‘Allah mera bhi Rab hai, mere bache ka bhi.’

"Allah ka kaam Allah hi karega — uska kaam apne sar mat lo.
"Tumhara kaam sirf mehnat hai, nateeja Allah ke taraf se hai."
Tawakkul ka Paighaam:
"وَعَلَى اللَّهِ فَتَوَكَّلُوا إِن كُنتُم مُّؤْمِنِينَ"
"Agar tum momin ho, to sirf Allah par hi tawakkul karo."
(Surah Al-Ma’ida, 5:23)

Hadees:
"Jo Allah par bharosa karta hai, Allah uske liye kaafi hai."
(Sunan Ibn Majah)

Aakhir Mein:
"Aaj se faisla kare — tension nahi, tawakkul! Koshish tumhara kaam hai, nateeja Allah ka."

Dua:
"Ya Allah! Humein apne faislon par raazi rehne ki himmat de,
Har hal mein Tera shukar karne ki tofeeq de,
Aur humein apne kaam mein lagaye rakh,
Apne kaam Tujh par chhodne ki aadat de."

Tension se nijaat chahiye?
Toh aaj se "Tawakkul ki raah" chune.

11/04/2025

Hazrat Imam Rabbani Shaykh Ahmad Sirhindi (رحمتہ اللہ علیہ)

Bismillahir Rahmanir Raheem
Alhamdulillahi Rabbil 'Aalameen, Wassalaatu Wassalaamu 'Alaa Sayyidil Anbiyaai Wal Mursaleen

Tareekh-e-Islam mein kuch shakhsiyat aisi hain jo zamana badalne ke liye paida ki gayi hoti hain — jo deen ki gard uthi hui dhool ko saaf karte hain, aqeede ko tahaffuz dete hain aur ummat ko sirat-e-mustaqeem ki taraf le jaate hain. Aise hi ek buzurg hain Hazrat Imam Rabbani Mujaddid-e-Alf-e-Sani Shaykh Ahmad Sirhindi Farooqi (رحمتہ اللہ علیہ).

Wiladat aur Nasab
Aap ki wiladat 971 Hijri / 1564 CE mein Sirhind, Punjab (Hindustan) mein hui.
Aap ka nasab Hazrat Umar Farooq-e-Azam (رضی اللہ عنہ) se milta hai — is wajah se aap ko “Farooqi” bhi kaha jata hai.
Unka Laqab: Mujaddid-e-Alf-e-Sani
Aap ko “Mujaddid-e-Alf-e-Sani” ka laqab mila, kyun ke aap Islam ke doosre hazaar saal ke aghaaz mein paida huye aur us waqt ke fitno ka ilm, tasawwuf aur tajdid ke zariye rad kiya.
Aap ka ye maqam ulama, fuqaha aur mashaaikh ke mutafaq alaihi hai.
Shah Waliullah Muhaddis Dehlvi likhte hain:

"Aap ke baad is silsile mein koi shakhs aisa nahi guzra jo itne jalal, ilmu tajdid ke maqam par ho."

Akbar Ka Fitna Aur Mujaddid-e-Alf-e-Sani Ki Tajdeedi Jung
Hazrat Mujaddid-e-Alf-e-Sani (رحمتہ اللہ علیہ) ka daur us waqt shuru hua jab Badshah Akbar ne Islam ke usoolon ko bigaadne ki koshish ki. Akbar ne apni hukoomat ko mazboot banane ke liye ek naqli mazahab “Deen-e-Ilahi” ka aghaaz kiya, jiska asal maqsad tha:

Islam, Hindu dharm, Zoroastrianism aur Christianity ka ek mix bana kar ek naya "universal deen" tayar karna,
Namaz aur roza jaise farz ibadaat ki ahmiyat ko kam karna,
Apne aap ko “Zillullah” (Allah ka saaya) keh kar logon ke aqeede ko badal dena.
Akbar ne ulema ko kharij kar diya, masajid mein talim band kar di, aur shirk aur bid’aat ko khuli chhoot di. Un ke hawari, jaise Abul Fazl aur Faizi, kufr o zandaqa ke paighambar ban gaye.

Hazrat Mujaddid Ne Kya Kiya?
Hazrat Imam Rabbani (رحمتہ اللہ علیہ) ne is gumrahi ke silsile mein qalam, roohaniyat, aur saabit aqeede se jung shuru ki:

Deen-e-Ilahi ka Ilmi Rad: Aap ne likha ke yeh deen kufr par mabni hai jo Islam ki asli surat ko khatam karta hai. Aap ne likha:

"Islam aur kufr kabhi ek nahi ho sakte, aur jahan shirk aaye, wahan haq ka sooraj chhup jata hai."

Maktoobat ke zariye Aqalmandon ko jagaya: Aap ke maktoobat ne sirf aam logon nahi, balke Mughal ke baadshah Jahangir tak ko mutasir kiya. Jahangir ne pehle aap ko qaid kiya (kyunki aapne uske baap Akbar ke deen ka rad kiya tha), lekin baad mein aap ki roohani azmat aur ilm se mutasir ho kar rihayi de di.

Shirk aur Raza Mand Islam ka fark wazeh kiya: Aap ne Hindu tasawwurat aur shirk par tanqeed karte hue likha:

“Haq sirf wahi hai jo Rasoolullah (sallallahu alaihi wasallam) ke tareeqe par ho, aur baaqi sab hawa o hawas hai.”

Musalmanon ke zawaal ko roka: Jab Islam ki rooh kamzor pad rahi thi, aap ne tasawwuf, shariat aur siyasat mein ek naya jaan daala.

Jahangir Ki Qaid Aur Roohani Ghalba
Jab Jahangir ko aap ki taaleemat se takleef hui, to usne aap ko Gwalior Qila mein qaid kiya. Lekin yeh qaid bhi roohani nizam ke liye ek nayi roshni ban gayi. Wahan bhi aap ne logon ki islaah ki, aur kuch hi mahino ke andar andar Jahangir aap ka murid ban gaya.

Jahangir ne kaha:

"Main ne aise buzurg kabhi nahi dekhe jo qaid mein bhi roohani ghulami ka dars dein."

Yani, Hazrat Imam Rabbani (رحمتہ اللہ علیہ) ne tazim-e-Risalat, Tawheed, Shari’at, aur Tasawwuf ko ek naya asman diya — us waqt jab hukoomat khud Islam se mooh mod chuki thi.

Tajdid-e-Deen Ki Koshish
Hazrat ne deen mein paida hone wale bid’aat, khurafat aur shirk ki shiddat se mukhalafat ki. Aap ke likhe hue maktoobaat (khatoot) mein tafseel se sab masail ka jawab hai.

Aham Islaahi Kaam:
Aqeeda-e-Tawheed ki tahqeeq aur tashreeh.
Wahdat-ul-Wujood ki jagah Wahdat-us-Shuhud ka daleel par mabni bayan.
Shari'at aur Tariqat ke ekhtilaat ka nizaam — jisme na Tasawwuf mein ghuloo, na shari'at se doori.
Ulama aur Sufiya ke darmiyan jame'iyat ka paigham.
Tasawwuf Mein Tajalli
Hazrat Naqshbandi silsile ke buzurg the. Aap ne Tasawwuf ko Shari'at ke daaire mein laa kar roohaniyat ki asli rooh ko zinda kiya. Aap ka aqeeda tha:

"Tasawwuf ka asli maqsad hai nafs ki islaah aur sunnat ki pairovi."

Aap ke shagird aap ke islahati tareeqe se duniya bhar mein phail gaye.

Maktoobat-e-Imam Rabbani – Ilm Ka Samundar
Aap ke “Maktoobat” — jo aap ke likhe hue khat hain — teen jildon mein majood hain. Yeh sirf roohani nasihat nahi, balke ilmi, falsafi, aur tajdeedi pegham se bharpur hain.

In maktoobat ne baqaida ek soch, ek fikr aur ek roohani tahreek ka aghaaz kiya.
Aap ke khat, Qur’an o Hadith, fiqh, kalam, aur tasawwuf ka behtareen majmu’a hain.
Shahadat / Wisaal
Hazrat ka wisaal 1034 Hijri / 1624 CE mein Sirhind Shareef mein hua. Aap ka mazar purnoor Hindustan ke sheher Sirhind (Punjab) mein hai jo roohani nizam ka markaz hai.

Asar Aur Legacies
Aap ke asraat se Naqshbandiyya Mujaddidiyya silsila duniya ke kai mulkon mein phela.
Aap ki taleemat ne Hindustan mein Islam ko zinda kiya, aur unka asar Shah Waliullah, Shah Abdul Aziz, Mawlana Fazl-e-Haq Khairabadi, aur doosre mashaaikh tak pahuncha.
Aaj bhi aap ka silsila roohani rehnumaayi ka markaz hai.
Nateeja:
Hazrat Imam Rabbani Mujaddid Alf-e-Sani (رحمتہ اللہ علیہ) ne Islam ko roohani aur fikri tor par dobara zinda kiya. Unki zindagi, ek mujtahid, ek wali, ek faqih, ek aalim aur ek tajdeedi shakhsiyat ki misaal hai.

Allah Ta’ala unke darjaat buland kare, aur humein unki taleemat par amal ki taufeeq ata farmaaye. Ameen.

10/04/2025

Alahazrat ka ilm Aur Khidmaat
Bismillahir Rahmaanir Raheem

Alhamdulillah wa kafa, wa salaamun ‘alaa ‘ibaadihillazeenas-tafa

Jab duniya ilmi zawaal ke dhar pe thi, jab aqeeda mutaassir ho raha tha, tab ek sitara roshan hua jisne ilm, amal, taqwa, muhabbat-e-Rasool aur hifazat-e-deen ka chiragh dobara jala diya. Ye noor tha — Imam-e-Ahl-e-Sunnat, Mujaddid-e-Deen-o-Millat, A'la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi (rahmatullah alaih).

Ilm ka Sagar: Ek Azeem Mujaddid
Alahazrat ka ilm kisi ek fun ka nahi tha, balke aapne 54 se zyada uloom mein mahir hona sabit kiya — fiqh, hadith, tafsir, kalam, mantiq, falsafah, hikmat, usool, ilm-e-jafr, ilm-e-nujum, mathematics, physics, aur zamane ke dusre asri uloom par bhi aapki Maharat sabit hai.

Hazrat Allama Zafaruddin Bihari likhte hain:

“Main ne unka ilm aisa dekha jo mujaddid ka maqam chahta hai. Har fan mein, har dalil mein aap ka jawab dalail se bharpur aur be-nazir hota tha.”

Kanzul Iman – Tarjuma Nahi, Ilham Hai
Alahazrat ka Qur’an ka tarjuma “Kanzul Iman” sirf lafzon ka tarjuma nahi, balke usmein a'adab-e-Risalat aur aqeeda-e-Tauheed ka jalaal hai. Aap har lafz ka aisa intekhaab karte hain jo shan-e-Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ko barqarar rakhta hai. Yeh tarjuma Ulama-e-Arab o Ajam dono mein maqbool hai.

Misal ke taur par:

"Wa rafaa’na laka zikrak" ka tarjuma:
"Aur buland kiya hum ne tumhaara zikr."
(Kanzul Iman)
Is ek tarjume mein unke ilm ke saath unka ishq-e-Rasool bhi jhalakta hai.

Fatawa Razvia – Fiqh ka Samundar
Fatawa Razvia, jo 30 jildon par mushtamil hai, unmein laakho masail ka dard aur uska hal hai. Har fatwa daleel, usool aur tazkiyah se bharpur hai. Aaj bhi duniya ke mukhtalif mulkon ke muftiyan aap ke fatawe se rehnumai hasil karte hain.

Aap ne:

Halaal o haraam mein farq wazeh kiya,
Masail-e-talaaq, nikaah, zakat, tijarat, aur siyasat tak sab par roshni daali,
Har jawab sirf ilm par nahi, balke taqwa aur khauf-e-Khuda par mabni hota tha.
Radd-e-Fitan: Aqeeda Ki Hifazat
Alahazrat ne apne daur ke Batil firqon — Deobandi, Wahhabi, Qadiyani, Shia Wagairahum— ka ilm o daleel ke zariye pur-asar rad farmaya. taake aqeeda-e-Ahl-e-Sunnat qaim rahe.

Mohabbat-e-Rasool Aur Naatiya Kalaam

Alahazrat ki sha’iri ilm nahi, ishq hai. Aap ka har sher ek aashiq-e-Sadiq ki pehchan hai. Na sirf Alfaaz, balke jazbaat bhi unke kalam mein roohani asar paida karte hain.

Mashhoor Naat ka Sher:
"Woh Kamal-e-Husn-e-Huzoor hai ke Guman-e-Naqsh-e-Jahaan Nahin
Yehi Phool Khaar se Door Hai, Yehi Sha’ma Hai ke Dhunwa Nahin"

Aap ki kitaab Hadaiq-e-Bakhshish har aashiq-e-Rasool ki mehfil mein sajti hai. Ismein aapne ishq-e-Rasool ke rang ko ilmi paimaanon ke saath pesh kiya.

Tasawwuf Aur Wilayat
Alahazrat sirf zahiri ilm nahi, balke baatini roohaniyat ke bhi baadshah the. Aap Qadri silsile ke sarkar Shaykh Abdul Qadir Jilani (radiyallahu anhu) ke sachche na’ib the. Aap ne “Qadri ho ja, Qadri raho” ka dars diya, jisme tasawwuf mein bhi shariat ki pabandi aur sunnat ki rooh jhalakti hai.

Alahazrat Ka Asar – Aaj Tak Zinda
Duniya bhar mein aap ke shagird ya silsile se jude huye ulama kaam kar rahe hain.
Aap ke ilm se ta'leem lene wale buzurg, aaj ke daur ke rehnuma hain.
Har saal aap ka urs lakhon aashiqon ka tajammu’ ban jaata hai.
Nateeja:
Alahazrat sirf ek shakhsiyat ka naam nahi — yeh ek tahreek ka naam hai, ek roohani nizaam ka naam hai, ek ilm o adab ka markaz hai. Jis shakhs ne apni zindagi sirf aur sirf Rasool Allah (sallallahu alaihi wasallam) ki khidmat mein guzaar di, aaj uska naam har musalman ke dil mein mohabbat aur izzat ke sath zinda hai.

Allah Ta’ala humein Alahazrat ke ilm, amal aur mohabbat se roshan kare. Ameen.

Bismillahir Rahmanir Raheem Islam ne aurat ko izzat, haya, ilm aur roohani maqām se nawaza hai. Qur’an aur Hadīth mein a...
08/04/2025

Bismillahir Rahmanir Raheem

Islam ne aurat ko izzat, haya, ilm aur roohani maqām se nawaza hai. Qur’an aur Hadīth mein aurat ke huqooq, zimmedaariyon aur maqām ko wazeh taur par bayan kiya gaya hai. Aaiye hum is post mein Islam mein aurton ke maqām ko asaan lafzon mein samajhne ki koshish karte hain — jahan izzat aur barābari ke saath mard ki zimmedari (Qawwamiyat) ko bhi samjhaaya gaya hai.

1. Qur’anī Nazariya: Izzat Aur Barābari
Qur’an Shareef me Allah Ta’ala farmata hai:

“Main tum mein se kisi amal karne wale ke amal ko zaya nahi karta, chaahe woh mard ho ya aurat.”
(Surah Aal-e-Imran: 195 – Kanzul Iman)

Maali aur Ma’irāsi Huqooq:
Jahaan duniya aurat ko virāsat aur tijarat se mehroom rakhti thi, Islam ne unhein yeh sab huqooq diye. Yeh us daur ke liye ek inqilāb tha.

Taleem ka Huq:
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

“Ilm hasil karna har Musalman mard aur aurat par farz hai.”
(Ibn Majah)

2. Paighambar Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Rawayya
Rehamdili aur Insaaf:
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton ke saath izzat, shafqat aur insaaf ka rawayya ikhtiyar kiya. Aap ne farmaya:

“Aapka behtareen shakhs woh hai jo apne gharwalo ke liye behtareen ho.”
(Tirmidhi)

Maaliyati Huqooq:
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton ko maal par haq, tijarat karne ka ikhtiyar aur virāsat ka haq diya.

3. Tārīkhi Namoone: Islam Mein Azeem Auratein
Hazrat Khadija RadiAllahu Anha – Tijarat aur imaan ki misaal
Hazrat Aisha RadiAllahu Anha – Ilm, fiqh aur hadith mein sabqat
Hazrat Fatima RadiAllahu Anha – Sabar, haya aur ibadat ki misaal
Hazrat Maryam RadiAllahu Anha – Roohaniyat aur paaki ki alam-daar
Hazrat Asma, Umm Salama RadiAllahu Anhunna – Himmat aur aqalmandi ka behtareen namoona
Rabi'a Basri – Roohani ishq aur tasawwuf ki roshni
4. Aurat agar Maan hai to apne Beta ke liye Jannat hai
Hum sab jante hain ki Maan ke Qadmo Tale Jannat hai Yaani yahan Maan (ek Aurat) ko Allah ne Itna Bada Martaba de diya ki Jannat ko Maan ke Qadmo Tale Daal diya Ab barabari ka Dum bharne wale Ye baat samjh lijiye ki Maan Ke maqam ko Allah ne kis qadar Badha diya
5. Mard Ka Maqam: Qawwam Ka Matlab Aur Hikmat
Aaj ke daur mein kuch jahil auratein ya secular soch ke log is Qur'anic hukum ko “gender discrimination” ke taur par pesh karte hain. Lekin haqeeqat ye hai ke Allah Ta’ala farmata hai:

“Mard auraton par Qawwam (sarparast) hain, is wajah se ke Allah ne un mein se baaz ko baaz par fazilat di aur is wajah se ke mardon ne apna maal kharch kiya.”
(Surah An-Nisa: 34 – Kanzul Iman)

Qawwamiyat Ka Matlab:
Mard par zimmedari hai ke woh apne ghar ka nigran ho.
Ghar ka kharch, biwi bachon ki hifazat, unka sukoon — yeh sab uski zimmedari hai
Hikmat Aur Tanaazur:
Mard ki fitri salahiyat, jismani taqat aur nafqah (kharch) ki farziyat usay qawwam banati hai.
Har nizaam mein ek zimmedar hota hai, warna fasaad barpa ho jaata hai.
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Misal:
Aap ne kabhi apne ahle-khana par zulm nahi kiya, balke unki har zarurat ka lihaz rakha. Aap ka rawayya “Qawwam” hone ka behtareen model hai — jisme mohabbat, reham aur insaaf sab kuch shaamil hai.

6. Chunautiyan Aur Behtar Mustaqbil
Galatfahmiyan Aur Tashweesh:
Kuch riwayati rawaiyye aur media ke asar se aurat ke maqām ko ya to dabaya jaata hai, ya ghalat taur par samjha jaata hai.

Behtar Mustaqbil Ke Liye:
Sahi taleem, waazeh tafsir, aur open guftagu se in ghalatfahmiyon ko door kiya ja sakta hai.
Har shakhs ko Islam ke asal paigham ko samajhne ki zarurat hai.
Khatima
Islam mein aurat ka maqām izzat, haya, ilm aur roohaniyat par mabni hai, jabke mard ka maqām zimmedari, insaaf aur rehnumaayi ka paigham hai. Dono apni apni jagah maqbool hain, lekin dono ko apni hudood aur ahkaam mein rehkar amal karna hai.

Is post ka maqsad ye hai ke hum ek saaf, samajhdar aur daleel par mabni paigham logon tak pahuncha sakein — jisme na feminism ka extreme ho, na male dominance ka. Sirf Qur’an o Sunnat ki roshni mein insaaf aur izzat ka nizaam ho.

Address

Mumbra

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Siraj Razvi posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Siraj Razvi:

Share