Islamic Friday - By Dr.Salim Nizami

Islamic Friday - By Dr.Salim Nizami New post every Friday

25/08/2023

Kya aap jante hai IRON(loha)ko arabic me(AL-HADID)kahte hai jo ki aik metal hai.Hairat ki baat ye hai ki jis tarah Sur Al-hadid Quran ke central chapter(Quran me 114 Surate hai aur beech ki yani 57th Surat Sur-Al-hadid hai)theek isi tarah Iron bhi hamari zamin ke center me kafi tadaat me maujood hai.Dusri hairat ki baat ye hai ki chemistri ki periodic table me Iron ka Atomic number 26 hai aur Al-hadid ki Abjad value bhi 26 hai.Iron ka zameen ke center me paya jana, latest technology ki jadeed finding hai.Allah tala kalam paak me farmata hai"Hum bahut jald unko(dunya ke)har taraf me bhi or khud unki zaat me bhi apni nishaniya dikhayenge,yaha tak ki un par zahir ho jayega ki Quran haq hai.kya tumko ye kafi nahi ki tumhara parwardigar har cheez se khabardar hai(Surah fussilat 41:53)

20/05/2023

Heart ki aik aesi condition hoti hai jise "Electrical instability of heart"kahte hai.
Ye condition ya to Gussa karne ya sudden emtional imbalance, jaisa ki earthquack ya koi aur natural disaster hone ki wajah se hoti hai.
Dr lambert of Yale Universiry ke mutabiq jab Insan ko Gussa aata hai to heart Electrically unstable ho jata hai aur ECG me changes bhi aa sakti hai.
Agar kisi shaqs me pahle se hi heart problem hai aur wo tez gussa kare to use Cardiac arrythmias or cardiac arrest bhi ho sakta hai. Aur agar koi shaqs gusse ko control karle to uske liye behtar hai.
Is se ye sabit huaa ki gusse pe Qabu paane se ya Sabr karne se hume fayeda pahuchta hai. Yahi wajah hai ki Hamare Nabi ne un cheezo se mana kiya hai jinse gussa paida hota hai jaise ki,Sharab,Zina,Smoking aur nasha,geebat karna,Gaalam-galoj karna,chugli karna etc. Lihaza hame apne Gusse per cotrol karna chahiye aur Allah se Darte rehna chahiye. Allah tala kalam paak me farmata hai" Aur apne parwardigar ki baqshish aur bahisht ki taraf lapko,jiski chodaee Asman aur Zameen ke barabar hai aur jo (khuda)se darne-walo ke liye tayyar ki gayi hai! Jo Asoodgi aur tangi me apna maal khuda ki raah me kharch karte hai aur GUSSE KO ROKTE aur logo ke qasoor maaf karte hai aur khuda nek logo ko dost rakhta hai (Sur Ale Imran 3:133 to 134)

12/05/2023

Dunya ka tallest tree USA California ke aik forest me hai jiski height 112 meter aur thickness 3 meters aur ye (~1000 yrs old)hai. iski uchaee~ 37 floors wali building ke barabar hai. Scientists ke liye hairat ki baat hai ki iski roots bhi dusre trees ki tarah zameen se pani kheechkar top tak pahuchati hain, jaha leaves me Tree ke liye food bankar plants ke dusre parts tak pahuchta hai. Is Tree ki khaas baat ye bhi hai ki apni zarurat puri karne ke liye ye hawa ki namee me se bhi (water soak)leta hai. Is se ye sabaq milta hai ki kaise Buland shaan wale parwardigar ne apni makhlooqaat aur Nabatat(Animals,and plants vegetation) me se har aik ki Rozi ka intezam mukhtalif tariqon se kar rakha hai. yani kisi ko bhi Neglect nahi kiya. Wo kalam paak me farmata hai"Bahut se jandaar hai,jo apni rozi uthaae nahi phirte!Allah hi unko rozi deta hai or tumko bhi" (Surah Anqaboot 29:60).is se ye bhi sabit hota hai ki kisi bhi Tanha shaqs ko uski Rehmat aur shafaqqat se mayoos nahi hona chahiye. jis tarah is Tree par Allah tala ki khaas tawajjo hai theek is hi tarah wo apne nek bando par meherbani dikhata hai aur Rahamat nazil karta hai.

05/05/2023

Allah taala kalam pak me farmata hai"Wah apni Riza par chalnewalo ko nijat ke raste dikhata hai or Apne hukum se andhere se nikaal kar roshni ki taraf le jata or unko sidhe raste par chalata hai (Surah Al-Ma'idah 5:16)

Address

Nizamuddin West
110013

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Islamic Friday - By Dr.Salim Nizami posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Islamic Friday - By Dr.Salim Nizami:

Share

Category