Teachings Of Bahr Ul Uloom Mohammed Abdul Qadeer Siddiqui Hasrat RA.

  • Home
  • Teachings Of Bahr Ul Uloom Mohammed Abdul Qadeer Siddiqui Hasrat RA.

Teachings Of Bahr Ul Uloom Mohammed Abdul Qadeer Siddiqui Hasrat RA. Remain holding with full glory the abode of the RasoolAllah (ﷺ) - Die in his love so you remain alive, even after dying. (HASRAT SIDDIQUI RA.)

BAHR-UL-ULOOM (OCEAN OF KNOWLEDGE) HAZRAT MOHAMMAD ABDUL QADEER SIDDIQUI "HASRAT " (Pen Name) (rh) (1871-1962)

He was the direct descendant of Hazrat Abu Bakr Siddiqu (rz). In 28th generation, his genealogical lineage meets with Hazrat Abu Bakr Siddique (rz) from father's side; and in 32nd generation with Hazrat Imam Hussain (as) from the mother's side. This way he was Siddiqui as well as Hussain

i. He was the first Head of the Department of Theology In Osmania University for over 20 years and later retired in 1932. Hazrat Siddiqui (rh) has written more than fifty books in Urdu, Persian and Arabic apart from "Siddiqui's Exegesis(Tafseer-e-Siddiqui) " (Translation and commentary) of Quran in Urdu. Hazrat's (rh) works are unique in many ways. The terminology he used in his books is unique and shows author's mastery on the subject matter. Hazrat Ka Faiz , Faiz e Aam Hai , Sari Qoum Ke Liye Hai. Qadeer Piya ki dosti bolo yaaro deen!

16/07/2025
*Aqhaﷺ Ko Ilm E Awwaleen Aur Aakhireen Ata Kiya Gaya Hai , Aap Basheer Bhi Hain Nazeer Bhi Hain*Rasool E Khudaﷺ Jaise Gu...
08/07/2025

*Aqhaﷺ Ko Ilm E Awwaleen Aur Aakhireen Ata Kiya Gaya Hai , Aap Basheer Bhi Hain Nazeer Bhi Hain*

Rasool E Khudaﷺ Jaise Guzishta Logo'n Ke Halaat Se Waqif Hain, Usiy Tarah Maujoodah Logo'n Ke Halaat Se Bhi Waqif Hain.

Aqhaﷺ Ko Ilm E Awwaleen Aur Aakhireen Ata Kiya Gaya Hai , Aap Basheer Bhi Hain Nazeer Bhi Hain , Apne Hum Zamana Logo'n Ke Liye Bhi Aur Is Zamane Ke Logo'n Ke Liye Bhi , Hum Fuqara Ke Nalayein Bardar Hain , Hum Ko Jo Kuch Milta Hai Mohammed Ke Hatho'n Se Milta Hai.

* By Bahr Ul Uloom Hazrat Mohammed Abdul Qadeer Siddiqui Hasrat Rahmathullah Alaih*

*🅨🅠⑤①③*

05/07/2025

Video of the inside of the Kaaba.
Which is the best video in the world.

*Aqhaﷺ Ko Ilm E Awwaleen Aur Aakhireen Ata Kiya Gaya Hai , Aap Basheer Bhi Hain Nazeer Bhi Hain*Sahebo !Zara Gaur Karo ,...
03/07/2025

*Aqhaﷺ Ko Ilm E Awwaleen Aur Aakhireen Ata Kiya Gaya Hai , Aap Basheer Bhi Hain Nazeer Bhi Hain*

Sahebo !
Zara Gaur Karo , Quran Shareef Mein Kya Nahi ?
Ehkaam Hain , Tafseel Var Halaat Hain , Sabeqa Ummato'n Ki Tareekh Hai Jo Gair Muslimo'n Ke Musallama Hain , Duniya Mein To Unlogo'n Ne Tardeed Nahi Ki , Lehaza Rasool E Khudaﷺ Un Gair Muslimo'n Ke Musallama Halaat Ko Bayan Farmainge Aur Paighambaro'n Ki Gawahi Denge Ke Unho Ne Sahi Taleem Apni Ummat Ko Ponhcha Di.

Rasool E Khudaﷺ Jaise Guzishta Logo'n Ke Halaat Se Waqif Hain, Usiy Tarah Maujoodah Logo'n Ke Halaat Se Bhi Waqif Hain.

Aqhaﷺ Ko Ilm E Awwaleen Aur Aakhireen Ata Kiya Gaya Hai , Aap Basheer Bhi Hain Nazeer Bhi Hain , Apne Hum Zamana Logo'n Ke Liye Bhi Aur Is Zamane Ke Logo'n Ke Liye Bhi , Hum Fuqara Ke Nalayein Bardar Hain , Hum Ko Jo Kuch Milta Hai Mohammed Ke Hatho'n Se Milta Hai.

"الله هو المعطي، وأنا القاسم" ; Allah Dene Wala Main Taqseem Karne Wala Hoon , Milta To Sabko Unhiy Ke Hath Se Hai Magar Samajhdar Samajhta Hai Aur Jahil Ko Maloom Nahi Ke Kiske Hath Se Mila Hai "رَبَّنَا لَا تُزِغْ قُلُوْبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا"

(*Tafseer E Siddiqui – 16 - 89*)
* By Bahr Ul Uloom Hazrat Mohammed Abdul Qadeer Siddiqui Hasrat Rahmathullah Alaih*

*🅨🅠⑤①③*

28/06/2025

This is the prison where Yusuf (peace be
upon him) was imprisoned!👇

26/06/2025

Saudi Arabia changes the cover of the Kabah to mark the beginning of the Islamic New Year.

Ayat Al Kursi - Tauhees ki Alaa Taleem Per Mushtameel.(BAHR UL ULOOM MOHAMMED ABDUL QADEER SIDDIQUI HASRAT RA).
21/06/2025

Ayat Al Kursi - Tauhees ki Alaa Taleem Per Mushtameel.
(BAHR UL ULOOM MOHAMMED ABDUL QADEER SIDDIQUI HASRAT RA).

*Bait Is Vastey Bait Karte Hain Ke ,Jadu , Shayatin , Aasaibiy Asraat Dur Hojaye Ya Beemar Acha Hojaye. Pabandi Soum O S...
12/06/2025

*Bait Is Vastey Bait Karte Hain Ke ,Jadu , Shayatin , Aasaibiy Asraat Dur Hojaye Ya Beemar Acha Hojaye. Pabandi Soum O Sawlat Bahoot Kam Maqsud Hai , Azkar O Ashgal Hazar Mein Ek Ko Bhi Matlub Nahi*

Sahebo ! Bait Kya Hai ?
Taubah Hai Aayendah Nek Amal Karne Ka Muhaida Hai Aur Us Per Kisi Nek Aadmi Ko Gawah Banana Aur Unse Maghfirat Ki Dua Chahna, Aajkal Jaha Tamam Mazhabi Kaam Rasmi Reh Gaye Hain Bait Bhi Ek Rasam Reh Gayi Hai , Amal Se Kisi Ko Garaz Nahi , Muhaida Amal Karke Amal Na Karna Ek Jhut Aur Ek Gunah Karna Hai Aur Usper Ek Buzrug Ko Gawah Rakhna Hai , Khuda Ke Talib Sau Mein Do Chaar Bhi Nahi Nikalte Ya To Rasam Ko Pura Karte Hain Ya Is Vastey Bait Karte Hain Ke ,Jadu , Shayatin , Aasaibiy Asraat Dur Hojaye Ya Beemar Acha Hojaye.

Pabandi Soum O Sawlat Bahoot Kam Maqsud Hai , Azkar O Ashgal Hazar Mein Ek Ko Bhi Matlub Nahi , Magar Ye Bait Bhi Un Logo'n Ka Kaam Hai Jinko Mazhab Se Kuch Rabt Hai , Buzrug'on Ki Izzat Unke Dil Mein Hai Magar Is Duar E Jadid Mein Kaisi Taubah Kaisi Bait Peeri Mureedi , In Sab Ko Dhakosley Samajhte Hai , Asal Ye Hai Ke Un Logo'n Ko Khuda Se Kuch Garz He Nahi Hai , Us Naam E Pak Ko Ism Baala Musammaa Samajhte Hain ,

(*Tafseer E Siddiqui – 60 - 12*)
* By Bahr Ul Uloom Hazrat Mohammed Abdul Qadeer Siddiqui Hasrat Rahmathullah Alaih*

*🅨🅠⑤①③*

Yaqeen 3 Tarah Ke Hote Hain.1- Ilm ul Yaqeen2- Ayein ul Yaqeen3- Haq ul Yaqeen.
10/05/2025

Yaqeen 3 Tarah Ke Hote Hain.
1- Ilm ul Yaqeen
2- Ayein ul Yaqeen
3- Haq ul Yaqeen.

Part - 6Mukhtasar Sawaneh Hazrat Khaja Mahbooballah - Hissa e Shashum
09/05/2025

Part - 6

Mukhtasar Sawaneh Hazrat Khaja Mahbooballah - Hissa e Shashum

Part - 6

Mukhtasar Sawaneh Hazrat Khaja Mahbooballah - Hissa e Shashum

*Madah wa Sataish se tanaffur*
Aapko sataish (tareef) se is qadr tanaffur thha ke agar koi shakhs aapki tareef karta to aapko nagawaar guzarta. Aapke chhote bhai Hazrat Sayyid Umar Hussaini sahab qibla makkah masjid mein baad namaz e juma quran e majeed ke ek ruku ki tafseer bataan farmate thhe aur waaz mein aksar aap bhi tashreef farma hote. Aksar aap mimbar ke pichhe chupkey se jaa kar baithh jaate. Aksar aisa hota ke jaisa hi aap tashreef laate mehfil mein ek kaif paida hojata. Isi tarah ek dafa hasb e aadat aap chupkey se jaa kar mimbar ke pichhe tashreef farma hue aur hazrat ke biradar mausoof ki nazar aap par padi. Hazrat sayyid umar sahab (jo waz farma rahe thhe) par wijdani kaifiyat taari hui aur dauraan e waaz aapne hazrat khaja mahbooballah ki taraf ishaara karke aapki tareef shuru kardi ke mera peer aisa zabardast hai aisi shaan waala hai, kisi ko chashm e baseerat ho to dekhe. Idhar hazrat umar hussaini sahab ne aapki tareef shuru ki aur udhar hazrat khaja ka chehra e mubarak ghazab aalood hua. Hatta ke waaz khatam hua mehfil barkhast hui, hazrat umar hussaini sahab ne jaisa hi aakar qadambosi hasil ki aap khafa honay lage ke aaj tum ko ye kya sujhi ke is tarah mimbar par meri tareef shuru kardi.
Sayyid umar hussaini sahab ghabra kar maafi maangne lage jis ke baad hazrat khaja ne irshad farmaya ke bas aaj se makkah masjid ka waaz mauqoof karo aur masjid un noor mein baad namaz e jumma waaz kiya karo. Chunachey us tareekh se phir aap ke wisaal tak masjid un noor mein waaz hota raha. Jab hazrat khaja mahbooballah ne is aalam se parda farmaya to phir makkah masjid mein waaz shuru hua.

Subhanallah! Kya aala kirdar ke haamil thhe.
Hazrat khaja mahbooballah ke ye aala awsaaf aajkal ke naam nehad mashaikheen ko dekhna chahiye aur apne seene par haath rakh kar sonchna chahiye ke kya wo bhi aisi taleem dete hain? Aise mashaikheen to kisi dawat mein shirkat bhi nahi karte agar daayi e mehfil unke naam ke saath ek satar alqaab na likhe.
Hazrat Bahr ul Uloom farmate thhe ke 'main buzurgoun ki aulaad hoon' aise ghuroor se koi fayda nai hai. Beshak wo bade log thhe magar tum khud kya ho". Aur farmate thhe '' hum sab aadam zaade paighambar zaade, aise fakhar se kuch haasil hi nahi jiska *fa* ف na padha jaaye''....(yaane fakhar فخر se agar ف nikaal diya jaaye to خر ka lafz banta hai jiska maana gadha hai....yaane aisa fakhar karna himaqat hai).
Allah hum subko khaja sarkar ke naqshe qadam pe chala dey.
Aameen.

To be Continue.........

✍🏻Edited By Khak Paye Hasrat Siddiqui RA.

Tafseer e Siddiqui Ki Khususiyat Ke Bare Me Ahem Points.
08/05/2025

Tafseer e Siddiqui Ki Khususiyat Ke Bare Me Ahem Points.

Address


Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Teachings Of Bahr Ul Uloom Mohammed Abdul Qadeer Siddiqui Hasrat RA. posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

  • Address
  • Alerts
  • Claim ownership or report listing
  • Want your business to be the top-listed Media Company?

Share