I AM POOR

I AM POOR Aaj Phir Dil mein Bahut Dard Ubhar Aaya Hai.. Iss Dard mein Kuch likh raha Hoon.. Dard Aur Meri Zindagi Ka Rishta Bahut Gehra Hai

Kayi Gharon ko nigalne ke baad aati hai,
Madad bhi shehar jalne ke baad aati hai. Na jaane kaisi mehak aa rahi hai basti mein,
Wahi jo doodh ubalne ke baad aati hai. Nadi pahaadon se maidaan mein toh aati hai,
Magar ye baraf pighalne ke baad aati hai. Woh neend jo teri palakon ke khwaab bunti hai,
Yahan toh dhoop nikalne ke baad aati hai. Ye jhuggiyan toh gareebon ki khankaahen hain,
Qalandari yahan palatne ke baad aati hai. Gulaab aise hi thode gulaab hota hai,
Ye baat kaanton pe chalne ke baad aati hai. Shikaaytein toh humein mousam-e bahaar se hai,
Khizaan toh phoolne – phalne ke baad aati hai. !!

Address

Islamabad

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when I AM POOR posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

Share

Category