27/05/2026
Assalam o Alaikum, Eid Mubarak ❤️
Thori dair baad jab aap qurbani kar lenge, to aap ke gate par kuch bachay, buzurg, auratein aur zaruratmand log khaali shopper le kar aayenge.
Khuda ke liye unhein jhidkiye mat… kyun ke jo shakhs apni izzat side par rakh kar aap ke darwaze par gosht maangne aa gaya, asal zaruratmand wahi hai.
Hum mein se aksar logon ne “zaruratmand” ki ek ajeeb tasveer bana rakhi hai…
Ke shayad woh andha hoga, mazoor hoga, ya zameen par ghisatta hua aayega tabhi woh haqdar hoga.
Lekin yaad rakhein, har zaruratmand ki majboori nazar nahi aati.
Agar us waqt gosht tayyar nahi hai to pyar se keh dein:
“Bhai, aadha ghanta baad aa jana”
Magar unhein zaleel ya ruswa mat karein.
Aur ek baat…
Kuch log kehte hain ke “yeh log gosht jama karke bech dete hain.”
To sochiye, jab aap ne kisi ko gosht de diya, to woh uski milkiyat ban gaya. Ab woh usay khaye, baante ya bech kar apni koi aur zarurat poori kare — yeh uska haq hai.
Ho sakta hai uske ghar mein fridge na ho…
Ho sakta hai usay dawa ki zarurat ho…
Ho sakta hai gosht se zyada usay rashan ya bachon ki fees ki fikr ho.
Is liye logon ki majbooriyon ko samajhne ki koshish karein, un par faislay na sunayein.
Is Eid par sirf qurbani hi nahi, apna rawayya aur soch bhi behtar banayein.
Mohabbat baantiye, aasani paida kijiye, aur kisi ki self-respect ko thes na pohanchaiye. ❤️
Allah hum sab ki qurbani aur nek niyyat qabool farmaye.
Aap sab ko dil se Eid ul Adha Mubarak.