21/03/2026
Assalam o Alaikum meri pyari doston 💕
Is baar Eid par jab main churiyon ki shopping karne gayi… tou har rang, har khanak ke saath tum sab ki yaadein taaza ho gayin 🥹
Yaad hai woh bachpan… jab hum sab mil kar چاند رات ka intezaar karte thay… aur phir ek dusre ko churiyan pehna kar kitna hanste thay 💖
Aaj bohat arsay baad maine phir se wohi churiyan li hain… sirf is liye ke apna bachpan dobara jee saken 💫
Isra, Sheen, Faryal, Iqra, Sania, Sadaf…Tum sab ke liye yeh choti si Eidi hai… lekin is mein meri bohat si mohabbat aur yaadein chhupi hain ❤️
Jab main tum sab ke chehron par woh khushi dekhungi na… tou lagega ke waqt wahin ruk gaya hai… aur hum phir se wohi choti si larkiyan ban gaye hain 🥰
Eid ki asal khushi bhi tou yahi hai… apno ke saath, yaadon ke saath 🤍
Eid Mubarak meri jaan doston 🌙✨
– Aisha Fariya"