28/04/2025
Gaza🇵🇸 Ke Liye Awaz Uthain – Israel Ke Products Ka Boycott Karen
Assalam-o-Alaikum,
Is waqt *Gaza* ki halat dil dukhanay wali hai. Humare bhaiyon aur behnon ka dukh bohat bara hai, lekin afsos ke sath bohat si Muslim mumalik chup hain. Na jane kyun, Israel ke khilaf awaz uthane ke bajaye, un ke products ko promote kiya ja raha hai. Un ke ads har jagah chal rahe hain, jo bilkul ghalat hai.
Alhamdulillah, ab logon mein hosh araha hai. Awam ne Israel ke products ka boycott shuru kar diya hai aur un ke khilaf awaz buland ho rahi hai. Main Allah Ta’ala ka lakhon shukar ada karta hoon ke log jaag rahe hain, lekin abhi bhi kaam baqi hai. Hum mein se bohat se log rozana Israel ke products istemal karte hain bina yeh jane ke yeh kahan se hain. Main kuch misalen deta hoon:
Gala Biscuits *(LU company)* aur *Peanut P*k* Biscuits *(Peak Freans)* hum ghar mein roz khate hain, lekin shayad apko pata na ho ke yeh Israel ke products hain.
Isi tarah *Ariel Surf, Knorr Maggi* , aur *Lifebuoy* Shampoo bhi Israel se talluq rakhte hain.
Hum in cheezon ko bina soche istemal karte hain. Is se bachne ke liye, main ap se guzarish karta hoon ke pehle check kar liya karen. Bas Google pe search karen *“Israel products list in Pakistan”* , aur apko tamam list mil jayegi.
Ek behtareen misal Turkey se hai, jahan logon ne *KFC* aur *Pizza* Hut ka itna boycott kiya ke unhe apne *537* stores band karne pade. Jab maine yeh khabar suni, mera dil khushi se bhar gaya. Yeh awam ki taqat hai!
Ek aur zaroori baat hai. Hum physical products ka boycott to kar rahe hain, lekin digital duniya ko bhool jate hain. YouTube, Instagram, aur Meta ki apps mein jo ads ati hain, un se Israel har saal 28 se 50 arab k**a raha hai. Simple si baat hai, har banda rozana 800-900 rupay Israel ko de raha hai in ads ke zariye.
Is ka hal yeh hai ke ap Chrome ke bajaye Brave browser istemal karen. Yeh Play Store se download karlen. Brave mein YouTube, Instagram, ya koi bhi website kholen, apko koi ads nahi dikhen gi.