
28/10/2024
Kya aap eBay ke bare mein jaante hain? Agar nahi, to chaliye aaj eBay ka aik chhota sa taaruf karte hain!
eBay ek global online marketplace hai jo 1995 mein start hua aur aaj yeh duniya ke sab se bade e-commerce platforms mein se aik hai! Yeh platform sellers aur buyers ko direct connect karta hai, aur yahan har cheez mil sakti hai – electronics se lekar fashion aur hatta ke rare collectibles bhi!
Aaj eBay ke kuch interesting numbers dekhein:
Revenue: eBay ka 2024 mein estimated revenue $10.19 billion tak pohanch gaya hai!
Active Buyers: Platform par 132 million se zyada active buyers hain, jo isko aik bara aur trusted marketplace banate hain.
Sellers: eBay par lagbhag 18 million active sellers hain jo apne products duniya bhar mein bech rahe hain.
Live Listings: Iss waqt eBay par takreeban 2.1 billion listings live hain, yaani options ki kami bilkul nahi!
Agar aap bhi eBay par selling start karna chahte hain ya eBay ke baray mein zyada jaana chahte hain, to mere saath rahein, kyunki agle kuch dinon mein main eBay ke tamam aspects cover karunga - scratch se lekar pro level tak!