09/05/2026
Baqi Dunya Mein Rates Stable, Magar Pakistan Mein Har Hafte Petrol Bomb! Kyun? β οΈπΈ
Kabhi aapne socha hai ke jab dusre mumalik mein petrol aur diesel ki qeematein stable hain, to hamare yahan har hafte naye rates ka jhatka kyun diya jata hai? π€β
Hukumat har baar "International Market" ka rona roti hai. Lekin sach ye hai ke baqi mumalik apni awam ko relief dene ke liye taxes kam karte hain, jabke hamari hukumat har litre par bhari levy aur tax nikalwa kar apni aiyashiyan poori karti hai. ποΈπ°
Dunya bhar mein qeematein mahino tak stable rehti hain taake business chal sakein. Magar hamare yahan har hafte naya notification aa jata hai. Kal tak jo petrol Rs. 399 par tha, aaj chupke se Rs. 414.78 aur diesel Rs. 414.58 par pahocha diya gaya! ππ₯
IMF ke aglay loan ki qist wapas karne ke liye gareeb ka khoon nichoda ja raha hai. CNG ko band rakha gaya hai taake aap majbooran ye mehanga petrol khareedein aur hukumat ka khazana bharein. ππΊ
Hukumat dono hathon se awam ko loot rahi hai aur badle mein zaleel-o-khwar kar rahi hai.
Jab baqi dunya mein awam ko relief mil sakta hai, to hamari hukumat har hafte hum par petrol bomb kyun girati hai? Kya ab waqt nahi aaya ke is be-hissi ke khilaf awaaz uthai jaye? Apni rai comments mein likhein! π