Islamic Rule

Islamic Rule all Islam related videos provide this page

12/06/2022
06/06/2022

Huzoor ﷺ Ne Ek Namazi Ko Qatl Karne Ka Hukm Diya.

“Hazrat Anas Bin Malik رضی اللہ تعالیٰ عنہا Sey Riwayat Hey Unhoney Farmaya Ke Huzoor ﷺ Key Zamana E-Mubarak Mey Ek Shakhs Tha Jis Ki Ibadat Guzaari Aur Mujaahidey Ney Hamein Hairaani Mey Mubtila Kiya Huwa Tha. (Aur Ek Riwayat Mey Yahan Tak Hey Ke Huzoor ﷺ Key Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Mey Sey Baa’z Usey Khood Sey Bhi Afzal Samajh Ney Lagey They) Hum Ney Rasool Allah ﷺ Key Samney Us Ka Naam Aur Us Ki Sifat Bayan Kar Key Us Ka Ta’rroof Karaaya.Ek Dafa Hum Us Ka Zikr Kar Rahey They Ke Woh Shakhs Aa Gaya.

Hum Ney Arz Kiya (Ya Rasool Allah ﷺ!) Woh Shakhs Yeh Hey. Aap ﷺ Ney Farmaya : Beshak Tum Jis Shakhs Ki Khabarein Detey They Yaqeenan Us Key Chehrey Par Shaitani Rang Hey Phir Woh Shakhs Qareeb Aaya Yahan Tak Ke Un Key Paas Aa Kar Khara Ho Gaya Aur Huzoor ﷺ Ko Salam Bhi Nahin Kiya. To Huzoor ﷺ Ney Usey Farmaya :
Mein Tujhey Allah ﷻ Ki Qasam Deyta Hoo’n (Ki Sach Bataana) Jab Too Majlis Key Paas Khara Tha, Too Ney Apney Dil Mey Yeh Nahin Kaha Tha Key In Logon Mey Mujh Sey Afzal Ya Mujh Sey Zyada Barghuzeedah Shakhs Koi Nahin?
Us Ney Kaha! Allah ﷻ Ki Qasam! Haa’n (Mein Ney Kaha Tha).
Phir Woh (Masjid Mey) Daakhil Huwa, Namaz Parh Ney Laga.

Toh Huzoor ﷺ Ney Farmaya :Us Shakhs Ko Kaun Qatl Karey Ga?
Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ney Arz Kiya :Mein Karoo’n Ga.Phir Woh Us Key Paas Gaye To Usey Namaz Parhtey Huwey Paaya Kehney Lagey. سبحان الله Mein Namaz Parhtey Shakhs Ko (Kaisey) Qatl Karoo’n? Jab Ke Huzoor ﷺ Ney Namaziyon Ko Qatl Kar Ney Sey Mana Farmaya Hey To Woh (Usey Qatl Kiye Bagair) Baahar Nikal Gaye.
Huzoor ﷺ Ney Farmaya :Tu Ney Kya Kiya?

Arz Kiya : Huzoor ﷺ Wo Namaz Par Raha Hai Aur Aapne Namazi Ko Qatl Karne Se Mana Kiya
Phir Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmata Kaun Hai Jo Usko Qatl Karega?
Hazrat Umar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ney Arz Kiya :
Mein Karoo’n Ga, Phir Woh Us Key Paas Gaye To Usey Allah ﷻ Ki Bargah Mey Chehra Jhukaye Dekha Hazrat Umar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ney Kaha :Hazrat Abu Bakar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Mujh Sey Afzal Hain Lihaaza Woh Bhi (Usey Qatl Kiye Bagair) Baahar Nikal Gaye.
Toh Huzoor ﷺ Ney Farmaya :Tu Ney Kya Kiya? Arz Kiya Mein Ney Usey
Allah ﷻ Ki Bargah Mey Sar Jhukaye Dekha To (Is Haalat Mey) Usey Qatl Karna Naa Pasand Kiya.

Phir Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Kaun Hai Jo Isko Qatl Karega
To Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ney Arz Kiya, Mein Karoo’n Ga, Aap ﷺ Ney Farmaya : Tum Hee Us Key (Qatl Key) Liye Ho Agar Tum Ney Usey Paa Liya To (Tum Zaroor Us Ka Qatl Kar Logey)
To Hazrat Syyedina Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Andar Us Key Paas Gaye To Dekha Ke Woh Chala Gaya Tha Woh Huzoor ﷺ Key Paas Laut Aaye.

Phir Huzoor Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya Agar Woh Qatl Kar Diya Jaata To Meri Ummat Mey Do² Aadamiyon Mey Bhi Kabhi Ikhtilaf Na Hota, Woh (Fitney Mey) Un Ka Awwalo Aakhir (Starting Ending) tha.
Hazrat Abu Moosa Ashari رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ney Bayan Kiya Mein Ney Hazrat, Hazrat Muhammad Bin Kaa’b رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Sey Suna :-
Farmatey Hain :-
Woh wahi Pistaan (Key Mushaabah Haath) Waala Shakhs Tha Jisey Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ney Qatl Kiya Tha.”
الله أكبر

‼Note‼

Yani Us Waqt Ka Wahabi Jo Khud Ko Dil me Sabse Afzal Samjhta Tha Jis Tarah Aaj Ka Wahabi Deobandi Ahle'hagees Gair Muqallid Najdi Salafi Saudi Apne Ko Samjhta Hai Aur Kehta Hai Ki Huzoor ﷺ Se Hum Amal Me Bad Chuke Hai معاذ الله Isse Ye Bhi Clear Ho Gaya Ki Har Namazi Musalman Nahi Hota Aaj Jis Tarah Log Kehte Hai Ki Wahabi Deobandi Ahle'hagees Gair Muqallid Najdi Salafi Saudi Ye To Namazi Hai Par Huzoor ﷺ Ke Gustakh Hai Isi Liye Kafir Murtad Hai.

Aur Uske Dil Me Kya Hai Wo Bhi Huzoor ﷺ Ne Bata Diya Aur Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Bhi Dekho Jab Maula Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Usko Marne Gaye To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ki Agar Wo Tumhe Mil Sakte Yani Huzoor ﷺ Dekh Rahe Hai Ki Wo Ja Chuka Hai.

Reference Book

[Musanaf Abi Razzaq Imam Bukhari رحمة الله عليه Ke Ustad Ke Ustad Jinka Wisaal 211 Hijjri Me Hua,Vol 10 Hadees :18674

02/04/2022

27/03/2022

MUSIC EFFECT AND DISADVANTAGE OF MIND SPIRIT AND BODY

..
27/03/2022

..

27/03/2022

AYE KAASH MADINAY MAIN MUJHY MOUT YOU AYE. || EMOTIONAL NAAT .💗💗💗❣️

19/03/2022

PEER AJMAL RAZA || VERY EMOTIONAL || STORYFULL BAYAN.

Address

Sahiwal
Sahiwala

Telephone

+923096810539

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Islamic Rule posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share

Category