Thetruetalks

Directions Website Contact the business

Thetruetalks !!

The True Talks !! एक डिजिटल न्यूज़ पेज है जो तथ्यों पर आधारित रिपोर्टिंग पर केंद्रित है। हमारा उद्देश्य है बिना किसी दिखावे के, सच्ची ख़बरें, असली कहानियाँ दर्शकों तक पहुँचाना। यहाँ हर मुद्दे को ईमानदारी और गहराई से प्रस्तुत किया जाता है !!

07/10/2026

Himachal ki ₹5,000 Crore ki apple economy aur 4 lakh parivaaron ki rozi-roti aakhir silent collapse ki taraf kyu badh rahi hai? 🍎📉 Kisaan ke liye 20–24 kg peti tayar karne ki basic cost aati hai lagbhag ₹1,000–₹1,200, par peak season mein average grade seb ke milte hain sirf ₹700–₹800! Ek taraf Iran aur Turkey ka seb Dubai aur Afghanistan ke raste saste daamon par hamari mandiyon mein dump ho raha hai, toh doosri taraf global warming ke chalte 1,000 chilling hours na milne se production gir rahi hai. Kya foreign apples par import duty badhana iska hal hai, ya sarkar ko pahadon mein shared cold storage aur sasta transport network khada karna chahiye?🏔️📦


06/10/2026

Himachal Pradesh mein SC/ST category ke sabse zyada sarkaari karmchari aakhir kis district mein hain? 🏔️📊 Economics & Statistics Department ke Statistical Abstract 2024-25 ke official data ke anusaar:
5️⃣ Solan: 3,814 employees
4️⃣ Chamba: 6,207 employees
3️⃣ Mandi: 7,097 employees
2️⃣ Kangra: 7,909 employees
1️⃣ Shimla: 9,142 employees Lekin ahem sawal ye hai: Agar aarakshan ka maksad pichhadepan aur gareebi ko door karna hai, toh iska aadhar jaati hona chahiye ya aarthik sthiti? Ek zimmedar nagrik ke roop mein apni rai share karein.

04/10/2026

Dev Bhoomi Himachal mein mahila suraksha ko lekar aakhir zameeni reality kya hai? 🏔️⚖️ Himachal Pradesh Police ke official Crime Review data ke mutabik saal 2025 ke pehle 7 mahinon mein 232 mamle darj hue, jo 2024 ke mukable 21% se zyada ki badhotri darshate hain:
3️⃣ Kullu: 22 cases
2️⃣ Mandi & Chamba: 29-29 cases
1️⃣ Shimla: 33 cases (aur 58 molestation mamlon ke sath sabse aage) Lekin bada sawal ye hai: Kya helpline (112) aur awareness badhne se reporting badhi hai, ya fir ground par halat aur jada chintajanak ho rahe hain?




03/10/2026

Himachal Pradesh Police ke Crime Review data ke anusaar SC/ST (POA) Act ke sabse zyada mamle kis district mein darj hue? ⚖️📊 Report ke mutabik saal ke pehle 8 mahinon mein 147 cases darj kiye gaye:
3️⃣ Una & Sirmaur: 14-14 cases
2️⃣ Shimla: 16 cases
1️⃣ Mandi: 40 cases (aur 2024 mein bhi 42 cases ke sath Mandi top par tha) Aazadi ke 75 saal baad bhi zameeni star par aisi sthiti ka samna karna kya darshata hai—

02/10/2026

Himachal ke Kamrunag Mandir aur Rajasthan ke Khatu Shyam Ji ka aapas mein kya aitihaasik connection hai? 🏔️🏹✨ Mandi ki unchi pahadiyon par sthit Kamrunag Devta ko Mahabharat ke mahan yoddha Barbarik (Khatu Shyam Ji) ka swaroop mana jata hai. Shri Krishna dwara sheesh daan maange jaane ke baad, poora Mahabharat yuddha dekhne ke liye unka sheesh isi pavan dharati par sthit kiya gaya tha! Khatu Shyam aur Kamrunag bhakton ke sath ye anokhi kahani zaroor share karein! Jai Khatu Shyam! Har Har Mahadev! 🚩🙏

01/10/2026

Himachal Pradesh ki 5 badi nadiyan poore desh ko kitni bijli de sakti hain? 🏔️⚡ State ka total estimated hydro potential lagbhag 24,000 MW hai, jisme se 11,290 MW harness kiya ja chuka hai aur 12,710 MW (53%) abhi bhi baaki hai:
5️⃣ Yamuna: 591.52 MW
4️⃣ Ravi: 2,359 MW
3️⃣ Chenab: 3,032.3 MW
2️⃣ Beas: 4,604 MW
1️⃣ Satluj: 9,450.25 MW Lekin asli sawal ye hai: Kya full potential ke chakkar mein pahadon par aur dams banana landslides aur natural disasters ko dawat dena hai? Development aur environment balance par ap ki kya rai hai! 🌿⚠️

30/09/2026

Kathua ke Sewa Hydel Project mein ek aam verbal argument ne itna bhayanak roop kaise le liya? 🚨⚠️ 29 September ki shaam CISF camp mein hui firing mein 4 personnel (Assistant Commandant, SI aur do constables) ki jaan chali gayi. Reports ke mutabik duty location par bachhe ko laane par vivaad shuru hua tha, halanki official confirmation abhi baaki hai. Armed forces mein badhte duty stress aur mental health challenges par aapka kya manna hai?



29/09/2026

Chitkara aur LPU—dono private universities mein aakhir student outrage aur protest ka ek hi pattern kyu dikha? 🏛️⚠️ Hostel incidents aur suraksha ko lekar uthe sawal, social media par tezi se failti baatein, university prashasan ke denials aur aakhirkar SIT aur FIR tak pahunchi baat. Sawal ye hai ki kya sahi samay par transparent communication na hone se afwahon ne reality ko overtake kar liya, ya students ke purane complaints ko nazar-andaz kiya gaya? Campus safety aur sachai ke liye zaruri hai ki CCTV aur forensic jaanch ko transparently public kiya jaye.📢


27/09/2026

Mandi shahar ki sthapna, Bhootnath Mandir aur vishva-prasiddh Shivratri Mele ki shuruat aakhir kaise hui? 🏔️🚩 (Part-3) 1527 mein Raja Ajbar Sen ne na sirf Mandi shahar ki buniyaad rakhi, balki char minaron wala apna rajmahal aur aastha ka kendra Bhootnath Temple banwaya. Yahin se shuruat hui Mandi ke us aitihaasik Shivratri Mele ki, jise aaj poori duniya jaanti hai! Lekin kahani yahan khatam nahi hoti—is naye riyasat ke bante hi shuru hui Suket (Sundernagar) aur Mandi ke beech ki aitihaasik dushmani!


26/09/2026

Ek van mein janma bachha aakhir aage chalkar Mandi riyasat ki neev kaise bana? 🏔️👑 (Part-2)Kullu ke Manglor mein base Sen vansh par tab sankat toot pada jab ladai mein Karanchan Sen maare gaye. Unki rani ne ek Baan (Baanj) ke ped ke neeche bete ko janm diya—jiska naam pada Ban Sen! 15 saal ki umr mein kilti ke lutere chief ko harakar Ban Sen ne apna dabdaba banaya aur capital ko Bhiu shift kiya. Lekin is poore sangharsh ke baad Raja Ajbar Sen ne Mandi shahar ki sthapna aakhir kaise ki? Part-3 dekhne ke liye bane rahein aur jada se jada share krre 🚩✨




Address

Mandi

Opening Hours

Monday 9:30am - 6pm
Tuesday 9:30am - 6pm
Wednesday 9:30am - 6pm
Thursday 9:30am - 6pm
Friday 9:30am - 6pm
Saturday 9:30am - 2pm

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Thetruetalks posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Thetruetalks:

Shortcuts

Share

Category